Amma mai jaa raha hoon

- Afroz (Azhar Abbas) (2017)


Nana ka dee'n bachane amma mai jaraha hu
Karbobala basane amma mai jaraha hu. .

1. Zaalim watan hamara hamse chudha rahe hain
Hamse chudha rahe hain

Deen e Mohammadi ko apna bata rahe hain..
Apna bata rahe hain..(2)

Kaabe ki manzilat ko bejaa ghata rahe hain .. (2)

Baatil ka sar jhukane(2) amma mai jaraha hoon.

2. Islam ke liye mai Zulm o Sitam sahunga
Zulm o sitam sahunga.. (2)

Ghar baar sab luta kar shikwa nahi karunga
Shiqwa nahi karunga.. (2)

Naize ki nook se bhi qur'aan mai padhunga .. (2)

Har sabr aazmane (2) Amma mai ja raha hoon. .

3. Zainab bhi saath me hai baccho'n ko apne lekar
Baccho'n ko apne lekar.. (2)

Mere bagair ek pal jeena hai uska dubhar
Jeena hai uska dubhar.. (2)

Baade dahum phiregi bazaar me khule sar.. (2)

Kunba Tera lutane(2) Amma mai ja raha hoon. .

4. Laqhte jigar hai sugra mujhko aziztar hai
Mujhko aziztar hai.. (2)

Tasweer aapki hai ye bhi mujhe Khabar hai
Ye bhi mujhe Khabar hai.. (2)

Dekhunga kis tarah se wo bhi barahena sar hai.. (2)

Sugra ko Khoo'n rula ke (2) Amma Mai ja raha hoon..

5. Tere jigar ke tukde zeenat banenge ran ki
Zeenat banenge ran ki.. (2)

Paamal laash hogi Qasim bin e Hasan ki
Qasim bin e Hasan ki.. (2)

Gardan me teer hoga Asgher se Gul badan ki.... (2)

Laasho'n se ran sajanae(2) Amma mai ja raha hoon. .

6. Jis waqt laashe Akber mujhse nahi uthegi
Mujhse nahi uthegi.. (2)

Imdaad ko hamari Dukhtar teri badhegi
Dukhtar Teri badhegi.. (2)

Us waqt Meri gairat khud mujhse Kya lagegi.. (2)

Laashe pisar uthane(2) Amma mai ja raha hoon.

7. Amma tumhara dilbar zakhmo se chuur hoga
Zakhmo se choor hoga.. (2)

Akber bhi durr hoga Gaazi bhi durr hoga
Gaazi bhi dooor hoga.. (2)

Phir bhi Meri jabee'n par himmat ka noor hoga.. (2)

Haan khoon me nahane(2) Amma mai ja raha hoon..

8. Amma hamare gham me roota rahega aalam
Roota rahega Aalam.. (2)

Ashqe Aza banenge zakhmo ke mere marham
Zakhmo ke mere marham.. (2)

Utthega ta qayamat mere aqhee ka parcham.. (2)

Shiyo'n ko baqshwane(2) Amma Mai ja raha hoon..

9. Amma Dua karo ke Rab kameyaab karde
Rab Kameyaab karde.. (2)

Ta Hashr deen e Haq ko izzat moaab karde
Izzat moaab karde.. (2)

Fauje yazidiyat ki mitti kharab karde.. (2)

Is Azm ko nibhane (2) Amma Mai ja raha hoon.

10. Nana salaam e aakhri Baba salaam e aakhri
Baba salaam e aakhri.. (2)

Amma salaam e aakhri bhayya salaam e aakhri
Bhayya salaam e aakhir.. (2)

Karlo qabool mera sugra salaam e aakhri.. (2)

Haq kya hai ye batane(2) Amma Mai ja raha hoon..

11. Likkhe "Azim" kaise shahe zaman ki rukhsat
Shahe Zaman ki rukhsat.. (2)

Zehra ne laadle ko kis tarha di ijazat
Kisi tarha di ijazat... (2)

Sheh ka ye bayn sunn kar Hilti thi maa ki turbat.. (2)

Wapas kabhi na aane(2) Amma Mai ja raha hoon..