Haye sajjad maula sajjad

- Hasan Jafar & Ali Hasan (2017)


Haye sajjad...4
Haye sajjad maula sajjad x2
Ghurbat Pe tumhari rote hain
Ghurbat pe tumhari roenge
Jab yad tumhari ayegi
Tumlogon par jaan khaenge

1) Jab mahe Muhorram ata hai aur gham ki ghate chati hain
Dil chur ghamo se hota hai akhe bhi lahu barsati hain
Jis waqt aza khane me rakhi zanjeer pe nazre jati hain
Ghurat pe..... jab yad tumhari..
haye sajjad........

2) Abbas jari k parchm mei  chota sa jo ye mashkiza hai
Parcham me saja ye mashkiza pyaso ki yad dilata hai
Har aakh se aasu behte hain har lab pe wafa ka nauha hai
Ghurbat pe....Haye sajjad.....

3) Ta umr tumhare aasu bhi padhte rahe sarwar ka nauha
Akbar k kaleje ka nauha aur gardan e asghar ka nauha
Bazar k manzar ka nauha zainab k khule sar ka nauha
Ghurbat pe..... jab yad... haye sajjad...

4)  Chaudah so baras se jari hai din rat ye matam dari hai
Ghurbat pe tumhari aye maula ghamgeen ye duniya saari hai
Jab jab ham pani peete hain yad aati pyas tumhari hai
Ghurbat pe..jab yad...haye sajjad....

5) Zindan pe masaeb Tmbe kie kis tarha gawara aye maula
Tukde tukde hota hoga dil gham se tumhara aye maula
Ro ro k sakeena ne jab bhi ammu ko pukara aye maula
Ghurbat pe.. jab yad.. haye sajjad...

6) Ham kaise kahe kin aakho se lut ta hua ghar tmne  dekha
Apno k janaze aye nazar Maqtal me jidhar tumhe dekha
Afsos bhare bazaro se zainab ka guzar tumne dekha
Ghurbat pe...jab yad... haye sajjad

7) Ham apne tasawwur me jab bhi naize pe sir ko dekhte hain
Jalte hue khaime dekhte hain ujde hue ghar ko dekhte hain
Ek bap ki maiyat pe jab bhi lachar pisar ko dekhte hain
Ghurbat... jab yad... haye sajjad

8) Bechain hain jafar aur fakhri ehsas ka matam kaise kare
Yado me tumhare askhko kim in aakho ko nam kese kare
Jo dil pe uthae hain tmne wo dard bayan ham kese karen
Ghurbat pe.... jb yad... haye sajjad..