Aap jo dil pe sina

- Syed Raza Abbas Zaidi (2017)


Haye akbar, haye akbar..(2)
Jo haal dil ka hai na sunoge hussain se?
Aap jo dil pe sina kha ke guzar jayenge..(2)
hum jo marte bhi na howenge to mar jayenge..(2)

1. Jaanta hu ke shuja'at hai wirasat teri
apne dada ki tarah se hai tabiyat teri
tum na janoge magar, baap ki halat akbar..(2)
kaise dedu tumhe marne ki ijazat akbar

2. Noor jata hai tere saath meri aankho'n ka
kuch nazar aata nahi mujhko abhi se beta
jo gaya saath tere laut ke na aayega..(2)
aap ke saath mera dil bhi chala jayega
Aap jo dil pe sina..

3. Ye hi dastoor zamane ka raha hai dilbar
baap marta hai to mayyat ko uthata hai pisar
tum diye jaate ho humko ghume taaza akbar..(2)
humse uthega kaha'n tera janaza akbar
Aap jo dil pe sina..

4. Aap ko barchiya'n khane ki badi jaldi hai
jaane kyu jaan se jaane ki badi jaldi hai
thehro thehro ke zara kaare ibadat karlu..(2)
aakhri baar mai nana ki ziyarat karlu
Aap jo dil pe sina..

5. Ran mein is baat ka ehsaas meri jaan rahe
laakh ho josh e wigha fir bhi tumhe dhyan rahe
barchi walo'n pe nazar apni jamaye rakhna..(2)
apne seene ko mere laal bachaye rakhna
Aap jo dil pe sina..

6. Ek maa hai ke jise sog manana hai tera
ek behen hai ke tera dekh rahi hai rasta
ek tum ho ke jise jaan lutani hai abhi..(2)
ek hum hai ke teri laash uthani hai abhi
Aap jo dil pe sina..

7. Sab se anmol khazina ho mere seene ka
ho sabab aap mere laal mere jeene ka
saare aalam mein rahe oocha waqar e haider..(2)
100 pisar hote to kar deta nisar e haider
Aap jo dil pe sina..

8. Apne maula ki atao'n se kami koi nahi
bus raza ek tamanna hai mere dil mei makee'n
meri mehnat ki mujhe bus ye jaza de maula..(2)
jab mera nauha sune mujhko dua de maula

Aap jo dil pe sina kha ke guzar jayenge
hum jo marte bhi na howenge to mar jayenge..(2)