Mawlati ya zahra

- Hashmi Sisters (2018)


Mawlaati Ya Zahra (sa) - Title 2017*

Azaa ka raasta hi siraat e mustaqeem hai
Siraate mustaqeem hi azaa ka raasta hai
Bichaoge jo farsh e ghum duaein dengi Fatima
Baroze hashr dekh na balaein lengi Fatima
Karo ye kaare haq adaa ke ajr dengi Fatima

Ajrokum Al-az-Zahra x2
Mawalaati Mawalaati Mawlaati Ya Zahra Ya Zahra
Ajrokum Al-az-Zahra X2

1) Inkaar e shahe deen mein hai dam deen e khuda ka
Ab sar nahi ho sakta hai kham deen e khuda ka
Hai majlis o matam se bharam deen e khuda ka
Ooncha hai isi ghum se alam deen e khuda ka
Saari dunya ko bataenge ye hum
Baais e azm hai Shabbir ka ghum
Ajrokum Al-az-Zahra X2

4) Jab farshe aza e shahe mazloom sada de
Jab waqt e musibat koi maghmoom sada de
Ya deher mein haq se koi mehroom sada de
Ya apna samjhkar koi masoom sada de
Ya Ali kehke barhadijiey haath
Daudiye nara e labbaik ke saath
Ajrokum Al-az-Zahra X2

5) Har ek ko nahi milta ghumme sibte payamabar
Har aankh ka ansoon bhi nahi hota hai gauhar
Ashoor ke din keh gaye ye hurr e dilawar
Har koi nahi hota muqaddar ka sikandar
Aadmi bas wo sharaf paaeyga
Sar jhukake jo idhar aaeyga
Ajrokum Al-az-Zahra X2

6) Nafso'n ki taharat ke liye kijiye matam
Mazloom se qurbat ke liye kijiye matam
Zalim ki mazammat ke liye kijiye matam
Makhsoos ibadat ke liye kijiye matam
Zindagi deeda e purnam ke liye
Waqf kar dijiye matam ke liye
Ajrokum Al-az-Zahra X2

7) Shabbir se hai pyaar to izhaar bhi kijiye
Iszhar mein lazzat hai sare daar bhi kijiye
Beyyat jo koi maange to inkaar bhi kijiye
Ye kaare numaya sare darbaar bhi kijiye
Zinda rehne ki tamanna hai agar
Ishq mein jaan ki parwaah nahi kar
Ajrokum Al-az-Zahra X2

8) Bachhey ko yeh maa kehte hue karti hai taiyyar
Dunya mein tera naam ho aye haq ke parastaar
Rozo'n ki taraf aankh uthaye na jafakaar
Daaish ki kamar tod de aye sheh ke azadar
Kaar gar ho na sitam gaar ka waar
Baand le sar se kaffan phir ek baar
Ajrokum Al-az-Zahra X2

9) Ashoor ki shab shamma jo sarwar ne bujhai
Har chahanay walay ko nazar aai khudaai
Aapas mein yehi kehte the sab haq ke fidai
Kya is ke siva de koi chaahat ki safaai
Koi shikwa ya shikayat na karein
Jo jaha'n baitha hai wo baitha rahay
Ajrokum Al-az-Zahra X2

10) Asif ghume sarwar mein kalam jab bhi chalao
Kya maqsade shabbir hai dunya ko batao
Paigham shahe deen ka Mahum jo sunaao
Mazloomiye shabbir ka ahsaas dilaao
Haq ki tehreek na rukne paaye
Jaan jaati hai to be shak jaaey
Ajrokum Al-az-Zahra X2