Aa jao tarayi se
- Syed Waqar Naqvi Bhopal (2018)
Aajao taraai se, ab behre khuda ghaazi.
Ro ro ke sakeena yeh deti thi sada ghaazi.
Darya pe na so jaana, ghanghor andhera hai.
Paani ki nahi mujko, ab koi tamanna hai.
Mashqeeza liye khaali lout aao chacha ghaazi.
Dhaate hai sitam aada baba bhi nahi aaye.
Batlaavo hame aakar jaae to kaha'n jaae.
Jalta hai harek khayma lut'ti hai rida ghaazi.
Rukhsaar tamaacho se, mere hai lahu me tar.
Or shimre sitamgar ne chheene hai mere gauhar.
Kaano se mere dekho hai khoon rava ghaazi.
Sajjad ke bistar ko khayme me jalaate hai'n.
Be-rehm sitamgar ye bachho'n ko sataate hai'n.
Ab kis se madad maange ham tere siva ghaazi.
Jalta hai mera kurta ab kon bachaaega.
Or aag yeh daaman ki kon aake bujhaaega.
Ab had se siva ham par hoti hai jafa ghaazi.
Gar aap na aaye to mai nehr pe aaungi.
Haalat mai tumhe apni ro ro ke sunaungi.
Batlavo huve muj se kyu'n aap khafa ghaazi.
Tanhaai ka aalam hai aansu mai bahaaungi
Kis tarh mai jangal me ab raat guzaarungi.
Jee paaungi na hokar mai tum se juda ghaazi.
Navshado waqaar unki turbat pe kare girya.
Roze me sakeena ke din raat pade nawha.
Hardam yeh tadapkar ham karte hai'n dua ghaazi.