Labo par hai sada
- Syed Waqar Naqvi Bhopal (2018)
Labo par hai sada haaye madeena qaydkhaane me.
Watan ko yaad karti hai sakeena qaydkhaane me.
Gale me hai rasan ke zakhm or hai pyaas ki shiddat.
Sakeena ka hai ab dushwar jeena qaydkhaane me.
Andhera is qadar hai ke nazar kuchh bhi nahi aata.
Ghutan hoti hai ab har ayk lamha qayd khaane me.
Sukoo'n se so nahi paati yateema khaak ke upar.
Bahut yaad aata hai baab ka seena qaydkhaane me.
Parindo se sakeena kehti thi jaakar madeene tum.
Zara pohchaa do muj tak haale sughra qaydkhaane me.
Laga kar apne seene se husain ibne ali ka sar.
Yateema ne hazaaro baar chooma qaydkhaane me.
Labe sarwar pe rakh ke apne lab karti rahi girya
Huva ek hashr sa kohraam barpa qaydkhaane me.
Yakayak rote rote ho gai khaamosh jab bacchi.
Huva zainab ko tab gham se ifaqa qaidkhaane me.
Hila kar shaana bacchi ka kaha sajjad ne ro kar.
Jaha'n se ho gai rukhsat sakeena qaydkhaane me.
Ba waqte ghusl zakhme pusht jab dekha sakeena ka.
Kiya ehle haram ne ro ke girya qaydkhaane me.
Gale me tauq hai aur paau'n me hai bediya'n fir bhi.
Uthaya ayk qaydi ne janaza qaydkhaane me.
Waqaar aakar pade nawha kare navshaad bhi maatam.
Dikhaa de tu hame raoza khudaaya qaydkhaane me.