Jaa rahe hai karbala sarwar madina chod kar

- Syed Waqar Naqvi Bhopal (2018)


Bose gale ke jiske liye hai rasool ne.
Pala hai jis ko pees ke chakki batool ne.
Rehne diya na usko sitamgar ne chayn se.
Hota hai khaali aaj madeena husain se.

Ja rahe hai'n karbala sarwar madeena chhor kar.
Hai magar dushvar jeena maa'n ka roza chhor kar.

Sayyade abraar jate hai madeena chhor kar.
Jaanibe karbobala saaya watan ka chhor kar.

Ghutniyo ke bal husain aae hai ma ki qabr tak
Kis tarah uth paaenge ab qabre zehra chhor kar.

Qabre maadar se lipat kar ro ke kehte the husain.
Karbala jaata hu tera aasataana chhor kar.

Saaf kar dena zamee'n maqtal ki aakar karbala.
Jab mai apna sar kataane jaau khayma chhor kar

Teen din ki pyaas se sookha gala hoga mera.
Paani tu amma na peena mujko pyaasa chhor kar.

Sar mera kat jaae to le lena apni god me.
Dasht se jaana nahi mujko akela choor kar.

Karna saaya apne baalo'n se tu meri laash par
Dhoop me aada mera jaaenge laasha chhor kar.

Berida le jaaenge zainab ko aada shaam tak.
Dena tab pursa use mera janaaza chhor kar.

Qabr se aai sada zehra ki ay pyaare husain.
Kis tarah rah paaungi mai tuj ko tanha chhor kar.

Tu jaha'n hoga vaha'n yeh teri ma aajaayegi.
Saath tere mai bhi aaungi madeena chhor kar.

Tera sar kat'te hi mai le lunhi apni hod me.
Dhoop se kaise uthu mai tujko tanha chhor kar.

Baal bikhraye huve jaaungi mai zainab ke saath.
Dhoop me chalti rahungi mai bhi saaya chhor kar.

Ay mere pyare safar islaam ki khaatir karo.
Tum basaalo karbala shehre madeena chhor kar.

Alweda navshad maadar se kaha sheh ne waqaar.
Rote rote aagae ghar qabre zehra chhor kar.