Momino matam karo shabbir ka
- Syed Waqar Naqvi Bhopal (2018)
Momino maatam karo shabbeer ka.
Binte haydar vaarise tat'heer ka.
1. Pyaas se jalta tha bach'che ka jigar.
Ayk qatra aab maanga tha magar.
Teer se chheda gala besheer ka.
2. Choor zakhmo'n se badan hai shaah ka
Ro rahi hai peet ke sar faatema.
Zere khanjar hai gala sabbir ka.
3. Ghutniyo'n bhi chal na paya bezaba'n.
Yaad kar ke ro rahi hai usko ma'n.
ik nisha'n halkoom pe hai teer ka.
4. Maarte the kode par kode adoo
Is qadar behta tha aabid ka lahoo.
Surkh loha ho gaya zanjeer ka.
5. Yaad kar ke ayk nanha gulbadan.
Haae roti hai rubaabe khastatan.
Dekh kar neze pe sar besheer ka.
6. Bhai ka laasha hai ran me bekafan.
Haath me zainab ke baandhi hai rasan.
Sar khula balve me hai hamsheer ka.
7. Navjava'n pe waar barchhi ka kiya.
Zaalimo'n ne chaak seena kar diya.
Ehmade mukhtaar ki tasveer ka.
8. Gham nahi mujko mera ghar lut gaya.
Qabre ehmad par yeh zainab ne kaha.
Hai mujhe gham aal ki tasha'heer ka.
9. Kya Waqaar aage likhe Navshad gham.
Jo huve karbal me sarwar par sitam.
Chaak hota hai jigar tehreer ka.