Yaad karke ghum bhare lelo nahare fatema
- Syed Waqar Naqvi Bhopal (2018)
Yaad kar ke gham bhare lelo nahare faatema.
Ro raha hai khoon har ik ghamgusare fatema.
Baade ehmad zulm ki yasrab me jab aandhi chali.
Chand pal me ho gaya veera'n dayaare faatema.
Zulm se jisdam shikam me ho gaye mohsin shaheed.
Umr bhar ka lut gaya usudam qaraare faatrma.
Pasliya'n zehra ki haidar paarah paarah dekhkar.
Umr bhar rote rahe bar izteraare fatema.
Zulm ki had ho gai ke munhadim kar ke baqee'(A).
Zaalimo ne gher rakkha hai mazaare faatema.
Turbate zehra ko loota zaalimo ne is qadar.
Reh gaya bas ayk patthar yaadgaare faatema.
Dhaae ummat nabi ki laadli par woh sitam.
Rota hai sun kar jise har sogwaare faatema.
Gulsahne zehra me chhai zulm ki aysi khiza'n.
Chand pal me ho gai veera'n bahaare faatema.
Ilteja navshaad ki bas yeh hai moula se waqaar.
Aa ja ghaybat se haqeeqi paasdaare fatema.