Hind ye zainab hai

- Syed Raza Abbas Zaidi (2018)


Jis waqt aseero'n se milne
hind aayi kaneezo'n ko lekar
ye odhe hue thi sar pe rida
be parda thi bint e haider
hairaan nigaho'n se isne
jab dekha bibi zainab ko..(2)
naize se sada deta tha yeh
us waqt mere mazloom ka sar
tu zara pehchaan ise
hind ye zainab hai..(4)

1. Shaam ke logo ne jo patthar maare hai
kaise qarz utare hai..(2)
tazeem me uthe jiski ali
beti wo yehi hai zehra ki
ab khaak pe hai jo baithi hui
kufe me isi ki shahi thi

tu zaraa pehchaan ise
hind ye zainab hai..(2)

2. Daur madine ka wo tune dekha tha
iska ghazi zinda tha..(2)
ab kaisi fiza ye badli hai
majboor bahan pardesi hai
azaad kiya tha jisne tujhe
wo shehzadi ab qaidi hai

tu zaraa pehchaan ise
hind ye zainab hai..(2)

3. Iska adab is tarha ghar mein hota tha
naam koi na leta tha..(2)
par ispe hui ye kaisi jafa
khoo'n rone laga beta mera
karte hue jis dum mai noshi
hakim ne iska naam liya

tu zaraa pehchaan ise
hind ye zainab hai..(2)

4. Jis kuche se guzri teri shahzadi
ek sada ye aati thi..(2)
aate hai hakim ke qaidi
badla le aakar har shami
phir khoon mein doobi ye bibi
pehchan na paya isko koi

tu zaraa pehchaan ise
hind ye zainab hai..(2)

5. Laashe akbar ran se jab mai laaya tha
khaimo mein kohram hua..(2)
sehre ki jagah dekha laasha
bardasht na kar payi dukhiya
mehendi to nahi hai hatho mein
balo me lahu hai akbar ka

tu zaraa pehchaan ise
hind ye zainab hai..(2)

6. Kaise batau dukh jo isne paye hai
kitne durre khaye hai..(2)
kaato'n pe chali hai rote hue
payro'n me pade iske chaale
ab kaise milayegi nazre
chupti hai ye fizza ke piche

tu zaraa pehchaan ise
hind ye zainab hai..(2)

7. Pursa dene isko shami aate the
haath mein patthar laate the..(2)
dil zakhmi hua sar zakhmi hua
baaghi ka ise taana bhi mila
balo'n se banati hai parda
ye tujhse chupati hai chehra

tu zara  pehchaan ise
hind ye zainab hai..(2)

8. Sheh ye takallum bole hind ye zainab hai
ha'n ye bibi zainab hai..(2)
tujhko bhi yaqee'n aajayega
jaldi se kaneezo se mangwa
tazeem ko iski uthega
qura'n rehel pe rakha hua

tu zaraa pehchaan ise
hind ye zainab hai..(4)