Mere abbas ko dariya se bulade koi
- Mirza Rehan Ali Firdosi (2017)
abbas chale aaoo..(4)
umme kulsum basad yaas yahi kehthi rahi
mere abbas ko darya se bolaade koi...(2)
haye shabbir ko jeene ki dua de koi
mere abbas ko darya se bolaade koi...(2)
kaise shabbi wahn lashen jawan dhunden ge
noujawaan laal ko moqtal me kahan dhunden ge
kis tareeqe se bhalaa...(2) darde nehan dhunden ge
mere abbas ko darya se bolaade koi...(2)
koi monis bhi nahi koi nahi hai yawar
apna dil kaise sambhalenge shahe jinno bashar
kaise akbar ko utaa...(2) enge akele sarwar
mere abbas ko darya se bolaade koi...(2)
teer be sheer ki gardan pe laiin ne maara
aur us teer se shabbir ka baazu bhi chidha
waqthe imdad hai(2) koi bhi nahi hai apna
mere abbas ko darya se bolaade koi...(2)
sajdaye shukr shahadath ko diya hai shay ne
is tarha ran me wazu aaj kiya hai shay ne
khoon be sheer ka ..(2) chehre pe mala hai shay ne
mere abbas ko darya se bolaade koi...(2)
rahe mushkil se guzar ne ke liye jaathe hain
jaan fida deen pe karne ke liye jaathe hain
shah maidaan me...(2) marne ke liye jaathe hain
mere abbas ko darya se bolaade koi...(2)
zakm pattar ka kahi par kahin naize ka nishaan
chuur zakmo se hain maqtal me imaame dho jahaan
chaar janib nazar...(2) atha hai qayamath ka samaa
mere abbas ko darya se bolaade koi...(2)
maa ki aghosh me bekas ne sukoon jab paaya
shimr khanjar liye shabbir ki jaanib aaya
kundh khanjar se gala....(2) shahe hudha ka kaata
mere abbas ko darya se bolaade koi...(2)
koi qaimon me lagi aag bhujatha hi nahi
aur koi apni madad ke liye aatha bhi nahi
koi beemaar ko...(2)sholon se bacha tha bhi nahi
mere abbas ko darya se bolaade koi...(2)
sar se naize ki aniyon se uthaari chaadar
rehem khaatha hi nahi koi bhi mazlomon par
ghum ki shaam ...(2)ajab khoon bhara hai manzar
mere abbas ko darya se bolaade koi...(2)
aye sharar chalgayi shabbir ki gardan pa churi
aur rotha raha rehan wo darya pe jari
umme kulsum basad yaas ...(2) yahi kehthi rahi...
mere abbas ko darya se bolaade koi...(2)
abbas chale aaoo ..(2)