Zehra ki aayate hai bazar me khule sar
- Mirza Rehan Ali Firdosi (2017)
parda tho banawo aankhon ko jhukaawo...(2)
zehra ki aaythen hain bazaar me khule sar...(2)
ab bhej aasmaa se mabood koi chadar
zehra ki aaythen hain bazaar me khule sar...(2)
bazaar dushmani ke harsu saje huwen hain
majma laga huwa hai sar bhi khule huwe hain
ab tak kisi ka kunbha aise phira na dardar
zehra ki aaythen hain bazaar me khule sar...(2)
apni rida me kaaba thu hi inhe chupaale
zehra ki betiyun ko ye ghum na maar daale
jaana hai peshe haakim bazaar se guzar kar
zehra ki aaythen hain bazaar me khule sar...(2)
halath bayaan ho kaise aulaad e mustafa ki
baazu bande huwe hain sar hain tamaam zaqmi
has has ke shaam waale barsaa rahen hai pattar
zehra ki aaythen hain bazaar me khule sar...(2)
ruksaar phat gayen hain zaqmi huwa hai seena
zalim ki seeliyon se bechain hai sakina
abbas ko bathade darya pe koi jaakar
zehra ki aaythen hain bazaar me khule sar...(2)
aale nabi ke jaisa mazloom ghar na dekha
taareeqe bekasi me aisa safar na dekha
har gaam ek qayamath har gaam aik mehshar
zehra ki aaythen hain bazaar me khule sar...(2)
ummath ne mustafa ko marqad me phir rulaaya
phir zalimo ne yaa rab zehra ka ghar jalaaya
looti sitamgharun ne syedaniyon ki chaadar
zehra ki aaythen hain bazaar me khule sar...(2)
dushwaar reheguzar hai mahool pur khatar hai
aabid hain paa barhaina kaanton bhara safar hai
hay na thawan musaafir rasta katega kyun kar
zehra ki aaythen hain bazaar me khule sar...(2)
ye majlise ye noha ye be kason ka matam
raktha hai aarzu ye rehan bilaale purghum
binte nabi hon raazi karle qobool sarwar
zehra ki aaythen hain bazaar me khule sar...(2)
parda tho banawo aankhon ko jhukaawo...(2)