Karbala ke maqtal me dete hai sada sarwar

- Mir Abid Ali (2018)


Karbala ke maqtal me dete hai sada sarwar
Dhoondo mai kaha tumko aye mere ali akbar

1. Girte hai sambhalte hai aur kahte jaate hai
Noor meri aankho se legaye mere dilbhar

2. Haath kyu hai seene par kuch jawaab do beta
Intezaar me tere dar pe hai khadi madar

3. Naam se mai akbar ke basti ye basavungi
Kahti hai yahi beta dekho zainab-e-muztar

4. Tere byaah ka armaa hai bahut jise beta
Muztarib madine me eik hai teri khaahar

5. Toot kar jo seene me rah gayi teri barchi
Baap ne tere kheencha usko ya ali kahkar

6. Baap ka sahaara aur chain khalbe madar ka
Khaak me mila sab kuch aye shabihe paigambar

7. Laasha-e-jawa uthe kis tarha zayeefi me
Aur hussain hai tanha aao saniye haider

8. Teer naiza-o-patthar maarte hai bekas par
Ab na khasim-o-abbas aur na hai tum dilbhar

9. Lash-e-ali akbar leke jab chale bache
Hai raza nigaaho me dard-o-gham ka wo manzar