Imam-e-Raza (AS)

- Ali Safdar (2008)


Imam-e-Raza (AS)

(Imam reza, Imam reza) x2

Assalamu alaika ya ghareebal ghuraba, Assalamu alaika ya mu'eenadh dhuafa

Assalamu alaika ya ghareebal ghuraba Assalamu alaika ya mu'eenadh dhuafa  Assalamu alaika ya shamsas shumus wa aneesannufus ayyuhal madfune bi arze toos

Ya sultanil arab e wal ajam Ya abal hasan ya ali yabna musar ridha Ruhi wa jismi (lakal fida)x3

(Ya ghareebal ghuraba Ya mu'eenadh dhuafa ) x2

  1. Noor charaghe aal-e-iba (waaqife haal-e-ehle aza) x2
  2. Warise shahe karbala (Yani shafi-e-roze jaza) x2

    Malike arze khake shifa Ruhi wa jismi lakal fida

    Assalamu alaika ya ghareebal ghuraba, Assalamu alaika ya mu'eenadh dhuafa

  3. Rizk tumhare dar se mila (deen tumhare ghar se mila) x2
  4. Kya kuchh na ghame sarwar se mila (Sab tera diya rehbar se mila) x2

    Quran he sab kuchh tera kaha Ruhi wa jismi lakal fida

    Assalamu alaika ya ghareebal ghuraba, Assalamu alaika ya mu'eenadh dhuafa

  5. Shabbir ka matam jaari hai (Is gham ki ijara dari hai) x2
  6. Ye waqt adu par bhari hai (Is gham ka mukhalif nari hai) x2

    Ati he musalsal eik sada Ruhi wa jismi lakal fida

    Assalamu alaika ya ghareebal ghuraba Assalamu alaika ya mu'eenadh dhuafa

  7. Jab dil mein ghamon ne der liye (Tuhi tha maseeha mere liye) x2
  8. Roze pe gaya aur phere liye (Ye jaan he meri tere liye) x2

    Zeest he meri teri ata Ruhi wa jismi lakal fida

    Assalamu alaika ya ghareebal ghuraba Assalamu alaika ya mu'eenadh dhuafa

  9. Islam ki shiryano mein abhi (Gardish mein hat khune aale nabi) x2
  10. Seene mein chubhi barchi ki ani (Lau deti hai girya khaiz hasee) x2

    Rehna he yahi ta hashr faza Ruhi wa jismi lakal fida

    Assalamu alaika ya ghareebal ghuraba Assalamu alaika ya mu'eenadh dhuafa

  11. Kul ehl-e-haram chadar ke bagher (Beemar bhi hai bistar ke bagher) x2
  12. Ik jhula he asghar ke bagher (Sab laashe pare hein sar ke bagher) x2

    Cheekh rahi hai karbobala Ruhi wa jismi lakal fida

    Assalamu alaika ya ghareebal ghuraba Assalamu alaika ya mu'eenadh dhuafa

  13. Tapti hai zameene karbobala (Bikhra hai janaaza qasim ka) x2
  14. Humshakle nabi bhi mara gaya (Phir khun-e-wafa maktal mein gira) x2

    Ati hai sada-e-aaho buka Ruhi wa jismi lakal fida

    Assalamu alaika ya ghareebal ghuraba Assalamu alaika ya mu'eenadh dhuafa

  15. Ankhon mein lahu ka darya hai (Jari jo "abad" ka girya hai) x2

Mat puchh jo meine dekha hai (Har ek fidaaai kehta he) x2

Shabbir pe apni jaane fida Ruhi wa jismi lakal fida

Assalamu alaika ya ghareebal ghuraba Assalamu alaika ya mu'eenadh dhuafa

Assalamu alaika ya shamsas shumus wa aneesannufus ayyuhal madfune bi
arze toos

Ya sultane arab wal ajamYa abal hasan ya ali yabna musar redha Ruhi wa jismi (lakal fida) x3