Ya ali ya ali ka naara hai

- Afroz (Azhar Abbas) (2013)


*Hashr aalam me aaj barpa hai,*
*Ya Ali Ya Ali ka naara hai..*

*Woh jo mushkil kusha humara hai,*
*Ibne muljim ne usko maara hai...*

(1)
Maut ko jisne zindgani di
Deene islam ko jawani di..(2)
Uske rukh par lahu ka gaaza hai...

(2)
Kyun na sadma dilo pe ho gehra,
Ghum yeh aghaze karbala thehra....(2)
Dono aalam me shore giriya hai..

(3)
Khoo'n chaka hai yeh dastaan e mehan,
Paikare ghum huwe hussaino hasan....(2)
Aaj saara jahan rota hai...

(4)
Shere yazda'n hai khoon me ghalta'n
Waqt shion pe yeh nahi aasaa'n..(2)
Lab pe jibreel ke yeh nauha hai....

(5)
Roza daaro'n me ik qayamat hai,
Ghum me doobi huwi ibadat hai..(2)
Har tabeeyat pe ghum ka pehra hai...

(6)
Aaj Abbas kyun na ho'n maghmoom,
Hain pareshan zainab o kulsum....(2)
Fikr me karbala ka naksha hai...

(7)
Ik qayamat hai masjide kufa
Hai tazazzul me khanaye kaaba....(2)
Har alam se yeh ghum ziyada hai....

(8)
Subhe ekkees(21) ki qayamat hai,
Murtaza ki jahan se rukhsat hai....(2)
Lo imame mubeen jata hai...

(10)
Khoon hai zindagi ka har manzar,
Murdani chaayi maut ke rukh par....(2)
Malakul maut bhi tadapta hai...

(11)
Khoo'n me tar hai kareem ibne kareem,
Farqe haider hai paash paash "Azim"....(2)
Phir bhi "afroz" rab ka sajda hai....

Ya ali Ya ali ka naara hai..
Hashr aalam me aaj barpa hai...
Ya ali Ya ali ka naara hai...