Maula ali ka matam
- Afroz (Azhar Abbas) (2017)
*Maula Ali ka matam kaunain me bapa hai..*
*khamosh masjide hain Kaaba Bhi ghamzada hai..*
(1)
Masjid khuda ka Ghar hai amno ama ki jaa hai,
Wajib adab hai iska Islam keh raha hai, to
Batlao qatl haider(2)
Masjid me kyu hua hai..??
(2)
Masroof e Bandagi the Masjid me Maula Hyder,
Zaalim ne teeg maari Sajde me unke sar par,
Daamad e Mustafa ka(2)
Sajde me khoo'n baha hai...
(3)
Maula Ali ka qatil be Deen wo shaqi hai,
Bayyte khuda ki hurmat paamaal jisne ki hai,
Jo hai Ali ka Qatil(2)
Wo dushmane Khuda hai...
(4)
Goonji hai jab sadaye'n qatle Ali fiza me,
Kohoraam Mach gaya sab ansaar e Bawafa me,
Har ik muhib ke lab par(2)
Hyder ka marsiya hai...
(5)
Raaton ko rotiyaa'n Jo khud ja ke baath ta tha,
Sab ki zaruraton ko poora Jo Kar raha tha,
Beewa,Yatimo,Muflis(2)
Ka aasra utha hai...
(6)
Ummul bani ki duniya Ramzaan me luti hai,
Waris ka gham Urbana mushkil bohot Badi hai,
Is gham se Fatema Bhi(2)
Jannat me ghamzada hai...
(7)
Kulsum or Zainab tasveer e gham bani hain,
Dono yateem bahene'n Baba ko to rahi hain,
Ghar aaj Fatema ka(2)
Matam kada bana hai...
(8)
Abbas ke jigar par ye zakhme gham hai pehla,
Mushkil hai jiska bharna hai zakhm itna gehra,
Ek Sher jaisa beta(2)
Baba ko ro raha hai....
(9)
Maula Hasan ne inko ki sabr ki nasihat,
Khamosh dil pe seh li Abbas ne qayamat,
Karbobala se pehle(2)
Koofa Bhi Karbala hai...
(10)
Aulaad ke liye hai mushkil ye gham uthana,
Kis dil se hai uthaya Hasnain ne janaza,
Allah hi unke dil ki haalat ko jaanta hai...
(11)
Aale Ali hamare kariye kabool pursa,
Ahle Aza ye saare karte hain pesh Nauha,
"Qaiser" ne Jo likha hai(2)
"Afroz" ne padha hai......
Maula Ali ka matam kaunain me bapa hai,,,
Khamosh Masjide'n hain Kaaba Bhi ghamzada hai....