Kaisa yeh safar hai
- Rizwan Rizvi (2018)
Ghar ka sukoon chod ke lo jaa raha husain
Kaisa yeh safar hai
Kaisa yeh safar hai.
Qurbaan hone jaa rahe sab lakhte jigar hain.
Kaisa yeh safar hai
Kaisa yeh safar hai.
Battis baras ka bhai hai
Zainab ka saath hai
Kadiyal jawaan qaasimo
Akbar bhi saath hain.
Lagta hai jaise sog me
Har shamso qamar hai.
Kaisa yeh safar hai.......
Sughra tadap rahi hai
Mujhe saath le chalo.
Tanha mai jee na paaungi
Humraah le chalo.
Seene se lagaaye bani hashim ka qamar hai.
Kaisa yeh safar hai......
Maa ki lahed pe aaye hain .
Rukhsat ko shahedee.
Turbat pe sar ko rakhte hue
Maa ko sada dee.
Amma salaame aankhri lo
Jaata pesar hai.
Kaisa yeh safar hai.....
Ek ek sawaar hoke
Amaari me bibiyan.
Mahmil me chalin leke yeh
Yeh ghar baar bibiyaan.
Hat tee hi nahin bhai se
Sughara ki nazar hai.
Kaisa yeh safar hai........
Haatho me alam thaame alamdar chala hai
Saqqa e haram ka siph e salar chala hai
Har simt phela huwa noorani asar hai
Kaisa yeh safar hai.......
Sughara bahen se lag ke gale roi zaar zaar.
Har bibiyoun ki aas hain
Abbass e alamdaar.
Pardes me jo guzregi
Yeh sabko khabar hai.
Kaisa yeh safar hai......
Mud mud ke bhai dekhta deudhee pe baar baar.
Sughara main lene aaounga
Karna tum intezaar.
Haafiz khuda tumhaara
Hume karna sabar hai
Kaisa yeh safar hai.....
Lamha bhi woh ajeeb tha kaisa sada armaan.
Apne labon se jisko
Bayaan kar gaya rizwaan
Aasoon bahaati sunke jise
Sabki nazar hai.
Kaisa yeh safar hai.....