Karbala karbala

- Rizwan Rizvi (2018)


Karbala karbala haaye mujhko bata.
Mera asghar kahaan pe soya hai.
Jhoola viraan hai maa pareshaan hai.
Mera asghar kahaan pe soya hai.

Kab se dar par nigaahen thairin hain.
Haaye yeh raat kitni ghairi hai.
Sun rahin hoon sada
Sun rahin hoon sada.
Mera baccha kahin pe roya hai.
Karbala karbala haaye mujhko bata.

Shah ke haathon pe jab gaya haaye.
Kitna pyaasa tha lab the murjhaaye.
Quza yeh laayin hoon.
Milne aayin hoon.
Laal mera kahaan pe soya hai.

Karke viraan ghar gaya aise.
Koi jaata hai is tarha kaise.
Nanhi si jaan hai maa anjaan hai.
Phool mera kahaan pe soya hai.
Karbala karbala haaye mujhko bata.
Mera asghar kahaan pe soya hai.

Kaisa jungal hai khauf aata hai.
Koi apna nazar na aata hai.
Ek shamma liye.gham ke tufaan liye.
Khoo me armaa ne dil bhigoya hai.
Karbala karbala haaye mujhko bata.
Mera asghar kahaan pe soya hai.

Jaake sughra ko kya bataaungi.
Usko kis tarhan mai manaaungi.
Jab watan jaaungi kaise batlaaungi.
Bhai uska kahaan pe khoya hai.
Karbala karbala haaye mujhko bata.
Mera asghar kahaan pe
Soya hai.

Kitne dil par malaal jhele hain.
Ban hai laashon ka hum akele hain.
Hai kahaan be zubaan.haaye shahe zamaan.
Kaun yeh teer khake soya hai.
Karbala karbala haaye mujhko bata.
Mera asghar kahaan pe soya hai.

Ab toh lagta hai jee na paaungi.
Kaise is dil ko mai manaaungi.
Halk pe teer hai.pyaasa besheer hai.
Uske zakhmo ko kisne dhoya hai.
Karbala karbala haaye mujhko bata.
Mera asghar kahaan pe soya hai.

Maa woh roti rahi sada armaan.
Ghoonj phir ek sada waha rizwan
Jo tera lal hai haye behal hai
Apney baba ke pass sooya hai