Berida saydaniya hai

- Rizwan Rizvi (2018)


Be reda saidaaniya hain dil pe laakhon daagh hain
Jo redaao ka mohaafiz tha woh zere khaak hai.

Hain tamashaai jidhar dekho nahin apna koi.
Dhoop me ahle haram hain sar pe na saaya koi.
Ghurbate zainab pe rota parchame abbass hai.
Jo redaao ka mohaafiz tha woh zere khaak hai.

Roti hai bimaar ke qadmon, se lipteen bediyaan.
Zakhm,hain faryaad karte aur sisakteen adiyaan.
Naake pe saidaanian hain aur rasan me haath hain.
Jo redaao ka mohaafiz tha woh zere khaak hai.

Tashna lab roti sakeena hai chacha tum ho khan.
Aalame ghurbat, hai tumko dhoondne jaau kahaan.
Sar pe apne na koi saaya na saayadaar hai.
Jo redaao ka mohaafiz tha woh zere khaak hai.

Sar gira jaata hai naize se jari ka baar baar.
Be reda saidaaniyaan rotin hain jab bhi zaar zaar.
Qufe ka baazaar hai aur majmaaye kuffaar hai.
Jo redaaon ka mohaafiz tha woh zere khaak hai.

Naize se shabbir ne zainab se yeh rokar kaha.
Gir gayi meri sakeena naaqe se dekho kahaan.
Rone ki uski sadaayen aati zaaron zaar hai.
Jo redaaon ka mohaafiz tha woh zere khaak hai.

Thaam lo baazu koi aata hai ghash bimaar ko.
Paani toh dedo koi laakar mere laachaar ko.
Kaise sambhlega gira jo bediyoon me haath hain.
Jo redaao ka mohaafiz tha woh zere khaak hai.

Tadpe jo naizo pe sar zainab se na dekha gaya.
Aye sada armaan woh manzar nahin dekha gaya.
Padh raha rizwaan nauha ro rahe ghamkhaar hain
Jo redaao ka mohaafiz tha woh zere khaak hai.