Abid ki kahani
- Shahid Baltistani (2003)
Abid ki kahani
(Haaye beemaar) x4
(Haaye beemaar) x2
(Haaye beemaar) x4
(Ranj-o-alam mei dubi, abid ki kahani) x4
- Payro(n) mei aable hai, aankho se ansuo(n) ke, hoti hai rawaani
- Is baat ka nahi gham, bazaar behaya hai
- Qari namaazi hafiz, haji khare huwe the
- Sadat ke liye hi, raaho(n) mei mushkile hai
- Jab karbala ko aye, suta watan madina
- Sajjad ko imamat, deti hai shaam-e-gurbat
- Na mahramo mei zainab, be parda jab khari thi
- Saaya hata hi tha ke, Abbas ke bharam ka
- Sajjad jis tarha se, ankho(n) se khun roya
(Ranj-o-alam mei dubi, abid ki kahani) x4
Ummat ki berukhi hai, ummat ke hi gila hai
Zainab bhi berida hai, badli hai zaeefi mei, abid ki jawaani
(Ranj-o-alam mei dubi, abid ki kahani) x4
Bazaaro(n) mei musalmaa(n), sare bhare huwe the
Zainab ki pusht par hi, beemaar-e-sarebaa(n) ki, guzri hai jawaani
(Ranj-o-alam mei dubi, abid ki kahani) x4
Qaure hai aur kaanthe, pathro(n) ki barishe hai
Khayme jo karbala mei, jalte rahe the ya rab, barsa nahi pani
(Ranj-o-alam mei dubi, abid ki kahani) x4
Chora jo karbala ko, tanha huwi sakina
Sarwar ki shaahzadi, kaise sahengi ya rab, zinda(n) ki weerani
(Ranj-o-alam mei dubi, abid ki kahani) x4
Mazloom sayyedo(n) se, kehti hai shaam-e-gurbat
Purse mei de rahi hu(n), beemar ko aseeri, karbal ko kahani
(Ranj-o-alam mei dubi, abid ki kahani) x4
Ummat ki teri nana, ghayrat kaha(n) gayi thi
Majma laga huwa tha, Zainab jo parh rahi thi, ayaat-e-qurani
(Ranj-o-alam mei dubi, abid ki kahani) x4
Aaghaz hogaya tha, sadat pe sitam ka
Deti rahi dilasa, pardes mei Zainab ko, Ghazi ki nishaani
(Ranj-o-alam mei dubi, abid ki kahani) x4
"Arman" wo kalam se, kaise bayaan honga
Bedaar hogaye ham, matam bata raha hai, Noho(n) ki zubaani
(Ranj-o-alam mei dubi, abid ki kahani) x4