Bhayya meri chadar

- Hussain Jari (2017)


Ya abbas, ya abbas..(2)
haye  abbas haye haye abbas..(2)

Zainab hai khule sar, nauha tha labo par
abbas bhayya meri chadar..(2)

Ujda hai mera ghar, aa jao palat kar
abbas bhayya meri chadar..(2)

1. Yaad aata hai baba ko wo seene se lagana
do baazu mere choom ke ashko ka bahana
lo aagaya hamsheer pe ghurbat ka zamana
qaidi hui pardes mein aulaad e payambar
abbas bhayya meri chadar..(2)

2. Abbas tere khoon se tarr tera alam hai
is dard se atka hua ab seene mein dumm hai
zainab ko nahi maut ka, is baat ka ghum hai
tatheer ki waris hui be maqna o chadar
abbas bhayya meri chadar..(2)

3. Afsos mera koi madadgaar nahi hai
is ban mein koi monis o ghumkhwar nahi hai
jo mera muhafiz tha alamdar nahi hai
aajao mere bhai ke zainab hai khule sar
abbas bhayya meri chadar..(2)

4. Zainab pe mere bhai qayamat ki ghadi hai
narghe mein laeeno ke behen haay khadi hai
bhai ki mere laash bayabaa'n mein padi hai
is alam e ghurbat mein nahi koi bhi yawar
abbas bhayya meri chadar..(2)

5. Ye kaisi musibat hai nahi koi hamara
mai hogayi barbaad ke ghar lut gaya saara
aulad e payambar ka nahi koi sahara
khaimo mein hai kohram ke taraaj hua ghar
abbas bhayya meri chadar..(2)

6. Is alam e tanhayi mein ab kisko bulau
abid ko sambhalu ke sakina ko bachau
rudaad e musibat ki mai ab kisko sunau
afsos hame lootne aaye hai sitamgar
abbas bhayya meri chadar..(2)

7. Socha bhi na tha ye kabhi manzar mere bhayya
mai qaidi banungi mera chhin jayega parda
haatho mein rasan baandh ke le jayenge aada
bazaar mein, darbaar mein jaungi khule sarr
abbas bhayya meri chadar..(2)

8. Kya waqt muhib zainab e muztar pe ye aaya
har ranj jari bint e payambar ne uthaya
be parda nabi zaadi thi aur des paraya
maqtal mein yehi nauha tha zainab ke labo par
abbas bhayya meri chadar..(2)

Zainab hai khule sar, nauha tha labo par
abbas bhayya meri chadar..(2)