Tadap kar sayyad e sajjad roye

- Shadman Raza (2018)


Tadap kar sayyad e sajjad roye
haaye...
dafn karne ke liye laash shahidan e wafa
karbala aaye ba aijaz e imamat maula
chaar su bikhre hue tukdo ko jis dum dekha
phatt gaya qalbo jigar zabt ka yaara na raha
lehed mein laasha e abbas rakh kar..(2)
tadap kar sayyad e sajjad roye

lehed mein laasha e abbas rakh kar
tadap kar sayyad e sajjad roye

Nigaaho'n mein tha aashura ka manzar
tadap kar sayyad e sajjad roye

lehed mein laasha e abbas rakh kar
tadap kar sayyad e sajjad roye

1. Kabhi laashe ke tukde choomte the
kabhi abbas ka sarr dhundhte the
tane besar ko seene se laga kar
tadap kar sayyad e sajjad roye

2. Shikasta jism ke bosida shaane
uthaye kis tarha allah jaane
chala jab qalb par furqat ka khanjar
tadap kar sayyad e sajjad roye

3. Sitam fauj e sitamgar dhaa rahi hai
sakina bhi tamache khaa rahi hai
chacha abbas se ye baat keh kar
tadap kar sayyad e sajjad roye

4. Jidhar le jaa rahe hai jaa raha hu
musalsal taaziyane khaa raha hu
taras khate nahi mujhpar sitamgar
tadap kar sayyad e sajjad roye

5. Badan par zakhm jitne the dikhaye
hue hai zulm kya kya sab bataye
bataya hai phuphi amma khule sar
tadap kar sayyad e sajjad roye

6. Chacha ki laash ko ek aah bhar ke
bohot roye supurde khaak karke
bohot choti si ek turbat bana kar
tadap kar sayyad e sajjad roye

7.Mukammal hogaya jis dum dafeena
kiya talkeen mein zikr e sakina
bataya chhin gaye kaano se gauhar
tadap kar sayyad e sajjad roye

8. Kabhi darya kabhi turbat ko dekha
kabhi nazdeek se ghurbat ko dekha
sare maqtal tarayi se palat kar
tadap kar sayyad e sajjad roye

9. Dua maango ye asif sidq e dil se
koi dushman bhi aise din na dekhe
ke jaise shadma'n haatho ko malkar
tadap kar sayyad e sajjad roye