Abbas tera haq hai

- Mir Hasan Mir (2018)


Abbas, Abbas, Abbas..(2)
Abbas tera haq hai zamana tujhe roye..(2)
jab shaam o sahar fatima zahra tujhe roye
Abbas tera haq hai zamana tujhe roye..(2)
Haye abbas..

1. Durra liye pehre pe sitamgaar khada hai..(2)
kaise tere laashe pe sakina tujhe roye..(2)
Abbas tera..

2. Jis waqt uthaya na gaya laasha jawa'n ka..(2)
sheh us ghadi akbar se zyaada tujhe roye..(2)
Abbas tera..

3. Zainab ne kaha shame ghareeba mein aye ghaazi..(2)
be parda mujhe dekhke baba tujhe roye..(2)
Abbas tera..

4. Sajde ke liye jab liya haatho ka sahara..(2)
to sajjad musalle pe hamesha tujhe roye
Abbas tera..

5. Bin haath ke kis tarha tu ghode se gira tha..(2)
ye sunke bohot ehle madina tujhe roye..(2)
Abbas tera..

6. Mashkiza kahi'n, jism kahi'n, haath kahi'n hai
jaa jaa ke kaha'n fatima zahra tujhe roye..(2)
Abbas tera..

7. Armaan sakina ka tha jitna tujhe roti..(2)
sajjad teri qabr pe utna tujhe roye..(2)
Abbas tera..

8. Hashim ke qamar kyu na tera chaahne wala...(2)
wa-sh- shams ka padte hue sura tujhe roye..(2)
Abbas tera..

9. Hasrat hai ke ghazi ho lahu aankh se jaari..(2)
ye mir takallum kabhi aisa tujhe roye
jab sham o sahar fatima zahra tujhe roye
Abbas tera..
haye abbas....