Bechayn hai Zainab

- Shahid Baltistani (2003)


Bechayn hai Zainab

(Bechayn hai Zainab aaja) x2 Veeran hai ghar ali akbar, mere laal tu lot ke aaja, Bechayn hai Zainab aaja, Veeran hai ghar ali akbar, mere laal tu lot ke aaja, bechayn hai Zainab aaja

  1. (Pardes ki is ghurbat mei) x2 Ham jaaye kahaa(n) batlaaja
  2. Bechayn hai Zainab aaja, Veeran hai ghar ali akbar, mere laal tu lot ke aaja, bechayn hai Zainab aaja

  3. Athara baras paala tujhko (tu ghar se gaya na bahir) x2 (Dil dub gaya hai beta) x2 Ghar lot ke ab to aaja
  4. Bechayn hai Zainab aaja, Veeran hai ghar ali akbar, mere laal tu lot ke aaja, bechayn hai Zainab aaja

  5. Hai waasta tere baba ka (haathon ke mere nawaalon ka) x2 (Marne ki ummar thi teri) x2 Ik baar mujhe samja ja
  6. Bechayn hai Zainab aaja, Veeran hai ghar ali akbar, mere laal tu lot ke aaja, bechayn hai Zainab aaja

  7. Lagta hai watan na jaawungi (gut gut ke marjaawungi) x2 (Jeenay ki karungi tamanna) x2 Ik baar tu wapas aaja
  8. Bechayn hai Zainab aaja, Veeran hai ghar ali akbar, mere laal tu lot ke aaja, bechayn hai Zainab aaja

  9. Zanjeer mei jakra hai kunba (Sar neze par hai tera) x2 (Aankho(n) se lahu barsaawu(n)) x2 Mei kab tak ye batlaaja
  10. Bechayn hai Zainab aaja, Veeran hai ghar ali akbar, mere laal tu lot ke aaja, bechayn hai Zainab aaja

  11. Teri yaadei(n) hai aur Zainab hai (Hamshakl-e-payambar Akbar) x2 (Du dil ko tasalli kaise) x2 Ye baat zara batlaaja
  12. Bechayn hai Zainab aaja, Veeran hai ghar ali akbar, mere laal tu lot ke aaja, bechayn hai Zainab aaja

  13. "Rehan" fughaa(n) thi Zainab ki (Ye shaam ke bazaaro(n) mei) x2 (Dukhyaari phuphi kehti hai) x2 Akbar mere Akbar aaja

Bechayn hai Zainab aaja, (Veeran hai ghar ali akbar, mere laal tu lot ke aaja, bechayn hai Zainab aaja) x2 (Bechayn hai Zainab aaja) x3