Ya zainab-e-kubra

- Shahid Baltistani (2003)


Ya zainab-e-kubra

Bismillah-hir-rahmanir-raheem. Innama yureedullahu li yuzhib ankumur rijs ahlalbayti wa yu tahhirakum tatheera

(Allah allah allah) x4

Allahu kabla kullu shai', allahu ba'da kullu shai', allahu kabla kullu shai', allahu ba'da kullu shai'

(Allah allah allah) x2 (Ya zainab-e-kubra) x6

  1. Ay bibi baniye azaa, peghaam karbala tera, jisne suna yahi kaha
  2. (Ya zainab-e-kubra) x4

  3. Tegh khutbo ki barsare darbaar, jaise chalti ho haideri talwaar, kat ke ghirte the zalimo ke jigar, jang-e-khaiber thi ya teri lalkaar
  4. (Ya zainab-e-kubra) x2

  5. Ay bibi baniye azaa, dine rasool bach gaya, quran ki thi ye sadaa
  6. (Ya zainab-e-kubra) x4

  7. Yaad ata hai shaam ka manzar, bibi sarpe tere na thi chadar, har taraf patharo ki baarish thi, teri poshaak thi lahu me tar
  8. (Ya zainab-e-kubra) x2

  9. Ay bibi baniye azaa, sadma tha ye bohot baraa, roya sare shahe hudaa
  10. (Ya zainab-e-kubra) x4

  11. Tune bacho ki di hai qurbani, haye re tera zokh imaani, pyaase bhayi ki yaad me tune, khun bahaya hai ankhe ka paani
  12. (Ya zainab-e-kubra) x2

  13. Ay bibi baniye azaa, ye zabta hosla tera, neze pe ser pukaarta
  14. (Ya zainab-e-kubra) x4

  15. Tere dar par ye istighasa hai, jo bhi farshe aza pe rota hai, us pe saya kare tera ghazi, wo jo mushkil kusha ka beta hai
  16. (Ya zainab-e-kubra) x2

  17. Ay bibi baniye azaa, hum momino ki ye dua, ashke azaa ka waastaa
  18. (Ya zainab-e-kubra) x4

  19. Kitne makrooz matami hai tere, karza tu ghaib se adaa karde, bibi tu to sakhi ki beti hai, tu to muflis ko baadshaah kar de
  20. (Ya zainab-e-kubra) x2

  21. Ay bibi baniye azaa, tu innama tu hal ataa, kehta hai sar jukaa huwa
  22. (Ya zainab-e-kubra) x4

  23. Qaid be jurma jo hai matamdaar, misle mazloom aabide bimaar, unko azaadiyo ko tohfa de, aaj tu misle haidare karrar
  24. (Ya zainab-e-kubra) x2

  25. Ay bibi baniye azaa, hum ko hai tera aasraa, ghairo se mangna hai kya
  26. (Ya zainab-e-kubra) x4

  27. Tere bhayi ne jaise rahib ko, saat bete ataa kiye phirto, tu bhi hamsheer us sakhi ki hai, dede awlaad chahiye jisko
  28. (Ya zainab-e-kubra) x2

  29. Ay bibi baniye azaa, awlaad aisi kar ataa, ho wo bhi matami tera
  30. (Ya zainab-e-kubra) x4

  31. Waasta us aseer bachi ka, rassiyo me bandha tha jiska gala, wo jo pyaasi thi mar gayi pyasi, koyi bacha na ab rahe pyaasa
  32. (Ya zainab-e-kubra) x2

  33. Ay bibi baniye azaa, har sabeel par likha, kehta hai khun bhayi ka
  34. (Ya zainab-e-kubra) x4

  35. Ay bibi baniye azaa, humse na haq adaa huwa, karde muafye khata

(Allah allah allah) x8