Mere maula mai likhu teri fazilat kaise

- Nayab Hallori (2003)


Mere maula (a.s.) mai likhun teri fazilat kaise

bada mushkil teri midhat ka safar lagta hai.....2
log keh de na nusairi yahi dar lagta hai

mere maula (a.s.) mai likhun teri fazilat kaise

Teri chaukhat par sitare ne salami di hai.....2
tere bacchon (a.s.) ki farishton ne gulami ki hai
kulle imaan hai jibreel ka ustad hai tu
had yeh hai kaunain ke sardaar ka damaad hai tu
ya ali (a.s.) tere ta'arruf me koi kya bole
teri thokar ka ishara ho to murda bole

mere maula (a.s.) mai likhun teri fazilat kaise

Ek hi waqt me chalees(40) jagah par maujood.....2
har nafas tujh me jhalakte hai sifate mabood
chaand suraj bhi samajhte hai ishara tera
zindagi aur ajal dono pa kabza tera
ya ali (a.s.) deen e payambar ka nigeh baan hai tu
jis pe allah (sw.t.) ka dhoka ho woh insan hai tu

Putla adam ka banaya hai tere hathon ne.....2
naksh e kaunain tarasha hai tere hathon ne
sochta hun ke nusairi ki khata hi kya hai
jub ke allah (s.w.t.) ka chehra bhi tera chehra hai
khud diya nahje balagha mein jo khutba tune
us se lagta hai banaee hai yeh duniya tune.

Jannat o kausar o tasneem o iram tere hai.....2
hadd yeh hai ke dosh e risalat pa kadam tere hai
ilteja hai ke hasnain (a.s.) ka sadka de de
apne mddaho ko midhat ka saliqa de de
guftugu karne ke adaab sikha de maula
mere har lafz ko nayaab bana de maula