Ghadeer phir ghadeer hai

- Shaheed Sibte Jafar (2012)


Hai Boriya nashee'n to kya ameer phir ameer hai
Adu hai hukmaraa'n to kya faqeer phir faqeer hi
bohot se din hai eid ke Ghadeer phir ghadeer hai

1. Awaam ho ya hukmara'n madad inhi se lete hai
ghulam apne khoon ki sanad inhi se lete hai
ghulam ho ya ho pisar haqeer phir haqeer hai

2. Khushi ke din hai fitr azha aur mubahila sabhi
jo masiyat se paak ho wo roz bhi hai eid hi
khushi ke din bohot se hai Ghadeer phir Ghadeer hai

3. Ali nabi ka janashee'n hai baab e shehr e ilm bhi
shareek e noor e mustafa hai pesh aur wasi wali
wo sab hai par nabi nahi wazeer phir wazeer hai

4. Halaak hone se bachaya usne tumko baarha
agar che tumne har qadam pa murtaza ko dukh diya
madad ko phir bhi aayega Ameer phir Ameer hai

5. Tere mu'aamile mein kar rahe hai jo agar magar
nabi ki shahzadi haq nahi mila to ghum na kar
Khalifa hogaya to kya, Faqeer phir Faqeer hai

6. Agarche hur ne sheh ki raah rok kar bura kiya
wo saari raat lashkare yazeed mein raha to kya
wo haq pa hoga subho dum Zameer phir Zameer hai

7. Wo shaah e inso jaa'n malaeka ka bhi imaam hai
usi ka sibt e jafar e haqeer bhi ghulaam hai
ghulaam sab bade sahi Haqeer phir haqeer hai