Karbobala ke haider aaqa madad ko aao
- Ameer Hassan Amir (2011)
Karbobala ke haider aaqa madad ko aao
Toofa'n mein hai safina aye ashiqe sakina..(3)
Jaldi bacha lo aakar aaqa madad ko aao..(2)
Duniya bhula rahi hai qurbani e shahe dee'n..(3)
Aye ashna e sarwar aaqa madad ko aao..(2)
Lele ke khushk kooze pyaase khade hue hai..(3)
kardo ataa samandar aaqa madad ko aao..(2)
Ye khoob jaanti hai baazu nahi hai phir bhi..(3)
duniya khadi hai darr par aaqa madad ko aao..(2)
Ghurbat ki laaj rakhlo ulfat ki laaj rakhlo..(3)
aye aetebaar e sarwar aaqa madad ko aao..(2)
Shere khuda ki dukhtar zainab ka waasta hai..(3)
sabro raza ke paikar aaqa madad ko aao..(2)
Azmat ki sarhado'n mein kaunain ki hado'n mein..(3)
hai kaun tumse behtar aaqa madad ko aao..(2)
Itne gharo'n mein bhuke bilak rahe hai..(3)
tumho ghareeb parwar aaqa madad ko aao..(2)
Takra rahe hai humse zulmo sitam ke lashkar..(3)
shere khuda ke dilbar aaqa madad ko aao..(2)
Aaina e azaa e shahe huda ki janib..(3)
aane lage hai patthar aaqa madad ko aao..(2)
Chhaya hua andhera hai bewafiyo ka..(3)
arshe wafa ke akhtar aaqa madad ko aao..(2)
Jhutla rahi hai duniya pyaaso ki wo kahani..(3)
mashko alam ko lekar aaqa madad ko aao..(2)
Kashkaule dil badhaye kabse bilal o amir..(3)
aake khade hai darr par aaqa madad ko aao..(2)
Karbobala ke haider aaqa madad ko aao