Hai ambiya ka wazeefa ali ali karna

- Mir Hasan Mir (2006)


Hai ambiya ka wazeefa.. ali ali karna..(2)
Har imteha'n mein hamesha..(2) .. ali ali karna
Hai ambiya ka wazeefa.. ali ali karna..(2)

Munafiqo'n ko, muhibbo'n ko, rishtedaro'n ko
bulake khum mein sawa laakh janesaro'n ko
liya rasool ne waada..(2) .. ali ali karna

Aye logo'n mere janaze ke saath chalte hue
mere badan ko lahad ke supurd karte hue
hai ilteja meri har jaa..(2).. ali ali karna

Kaha ye nooh ne khud se pohoch ke sahil par
safeena rakhte hue bhi mai doob jaata magar
mujhe bacha gaya mera..(2).. ali ali karna

Aye jaane wale haram ke ye mashwara hai mera
jo chaahta hai tera hajj kare qubool khuda
to jaake khana e kaaba..(2).. ali ali karna

Aye logo mere janaze ke saath chalte hue
mere badan ko lahad ke supurd karte hue
hai ilteja meri har jaa..(2).. ali ali karna

Zaban e meer pe akbar yehi to naara hai
zamane bhar ko yehi mashwara hamara hai
koi jo roke zyada..(2) .. ali ali karna

Hai ambiya ka wazeefa.. ali ali karna..(2)
Har imteha'n mein hamesha..(2) .. ali ali karna