Abbas jaa rahe hai

- Shahid Baltistani (2004)


Abbas jaa rahe hai

(Haae Abbas) x6

Bache tarap rahe hai, Abbas jaa rahay hain, Har bibi ro rahi hai, Abbas jaa rahay hain, Apne rida ko zainab, haaye hasrat se dekhti hai

(Abbas ja rahay hain) x4

  1. Sukhe huwe labon par, bachon zaban na phero, (mashko alam ko dekho) x2 kuch deyr mei yahaan tak, khud nehr aa rahi hai, abbas jaa rahe hai
  2. (Abbas ja rahay hain) x4

  3. Kyun mashk tumne dedi, ghazi ko shahzaadi, (ay ranjo gham ki aadi) x2 khush kyun hai ai sakina, kuch der ki khushi hai, abbas jaa rahe hai
  4. (Abbas ja rahay hain) x4

  5. Jukne lagi qamar hai, abbas ka safar hai (sheh marna jaae dar hai) x2 aafat ghamon alam ki, sarwar pe ghir pari hai, abbas jaa rahe hai
  6. (Abbas ja rahay hain) x4

  7. Ik shore al-atash hai, phailaa huwa fazaa mei, (masroof hai dua mei) x2 kyaa sog karbalaa mei, ummeed aakhri hai, abbas jaa rahe hai
  8. (Abbas ja rahay hain) x4

  9. Khaimon mei shore matam, hone laga hai paiham, (har aankh hogayi nam) x2 shaame gharibaan daaman, phailaati jaa rahi hai, abbas jaa rahe hai
  10. (Abbas ja rahay hain) x4

  11. Zainab ke baazuuon ko, chuma tha jab ali ne, (lamhaat-e-zindagi mei) x2 baazu bandhenge mere, zainab samaj gayi hai, abbas jaa rahe hai
  12. (Abbas ja rahay hain) x4

  13. "Rehan Azmi" wo, manzar na likh sakunga, (bas itna keh sakungaa) x2 kehte the shaahe maula, kam meri zindagi hai, abbas jaa rahe hai

(Abbas ja rahay hain) x4