Hai mera naam ali asghar

- Mir Hasan Mir (2014)



ana ibn e hussain ibn e ali...(3)

aqeedo ke gauhar rolna bhi aata hai..(2)
dare nijaat mujhe kholna bhi aata hai
bata diya ali asghar ne aake maqtal mein
mai be zuba'n hu mujhe bolna bhi aata hai

Hai mera naam ali asghar..(4)
Mai ali ibn e hussain ibn e ali..(4)

Sin mein chota hu...(2)
sakhawat hai meri sab se badi
Mai ali ibn e hussain ibn e ali..(3)

Ediya'n mujhko ragadne ki zarurat hi nahi
kuch mere saamne paani ki haqeeqat hi nahi
mai jo kehdu abhi sehra mein ho kausar jaari
Mai ali ibn e hussain ibn e ali..(3)

Maqsade hazrat e shabbir adhura rehta
gar na labbaik mai halmin ki sadaa par kehta
aaj allahumma...
aaj allahumma labbaik nahi kehta koi
Mai ali ibn e hussain ibn e ali..(3)

Meri jurrat wo mera naam o nasab jaante hai
baargahe ali asghar ka adab jaante hai
teer khud banke
teer khud banke kama aate hai chaukhat pe meri
Mai ali ibn e hussain ibn e ali..(3)

Waqt e mushkil jo na de naade ali padhne ka
tumne us waqt hai bus yaa ali asghar kehna
behre imdad mai aajaunga khud banke ali
Mai ali ibn e hussain ibn e ali..(3)

Tum samajhte ho ke sin mera abhi chhota hai
ali asghar ho ke akbar wo ali hota hai
tum pe maidaan mein khul jayega ye raaz abhi
Mai ali ibn e hussain ibn e ali..(3)

Raaz ye meri shahadat se hua hai zahir
roze ashoor hussain ibn e ali ki khatir
maine allah ki janib se ladaai hai ladi..(2)
Mai ali ibn e hussain ibn e ali..(3)

Daad dete hai mere waar pe mehboob e khuda
aa rahi hai mere kaano mein musalsal ye sadaa
waah kya baat hai..(2)
jeete raho aye chhote ali
Mai ali ibn e hussain ibn e ali..(3)

Dedo paigham  takallum ye jaha'n ko jaakar
koi rahib koi fitrus abhi baaqi hai agar
mere gehware ke nazdeek chala aaye abhi
Mai ali ibn e hussain ibn e ali..(3)

ana ibn e hussain ibn e ali...(2)
Ali ali ali ali ali ali ali ali ali...