Shabbir ki ghurbat

- Syed ali asghar abbas nasir (2016)


Shabeer ki ghurbat peh main kiya Likhoon?
Lafz hain thoray , Zulm hai ziyada
Kitna Ghareeb tha mera yeh Teesra Imam
Hai Hai is Sitam peh main kiya Likhoon?

2 Moharam ko puhncha Karbala
Qafila jo Madinah sy, huwa tha rawana
Tapti hoi raiti thi or Garm thy din
Hai Hai aesay halaat peh main kiya Likhoon?

7 Sathween sy to Zulm or barha
Furaat sy qafila , jo door huwa
Zulm o Sitam ki to had ker di gae
Hai Hai is inteha peh main kiya likhoon ?

Hai Ashoor ka din, Or Zulm k ambaar
Mara gea Akbar (a.s) bhi or Shah ka Salaar (a.s)
Chali gae benai or tooti kamar
Hai Hai is Jafa peh main kiya Likhoon?

Asir sy pehlay tk maray gae sub
Tanha ker gae Shabeer a.s ko sub k sub
Waqt Namaz mili thi Shahadat Hussain a.s ko
Hai Hai is Azmat peh main kiya Likhon?

Nasir! Aa gai ab Shaam e Ghareeban
Lut giya hai Zahra s.a ka Gharana
Qalam bhi Rota hai na likh pae ga or
Hai Hai Zulm bohat hain main kiya Likhoon?