Hashr se pehle
- Afroz (Azhar Abbas) (2017)
Hashr se pehle.....
Hashr se pehle Zamane me qayamat hogayi...
Mustufa ki laadli Nazre musibat hogayi...
(1)
The nabi ke ummati lekin sitam aisa Kiya,
Fatema ko baap ka matam nahi karne Diya,
Dhaye Kuch aise sitam paamal gairat hogayi.....
(2)
Ahlebait e Mustafa se dushmani ki leke aadh,
Zaalimo'n ne is kadar Toda masayeb ke pahaad,
Fatema Binte Mohammed ki Shahadat hogayi...
(3)
Jalta darwaza gira jab Fatema ke jism par,
Fatema ne di sada Fizza ko tab ye cheekh kar,
Aao Fizza aao Mohsin ki shahadat hogayi.....
(4)
Lene aate the falak wale Jahan par rotiya'n,
Haye us dar pe sitamgar leke aaye lakdiyan,
Aag us ghar me lagane ki hasrat hogayi.....
(5)
Gusl jab hasbe wasiyat Murtuza dene lage,
Sabr kar paye na tooti pasliyon ko dekh ke,
Yak ba Yak sher e Khuda ki Gair haalat hogayi.....
(6)
Fatahe khaibar dahade maar kar rone lage,
Laash nehlate hue aakho'n se mooh dhone lage,
Keh Uthe Salman ye Haye kaisi musibat hogayi....
(7)
Pasliyan tooti thi phir bhi mujhse batlaya nahi
Sabera kitni thi'n haaye Binte Khatmul mursaleen,
Jab ye Maula ne kaha to aur Riqqat hogayi....
(8)
Hay'n Abhi kamsin bohot dono dulare Fatema,
Inko chodhe jaati ho kiske sahare Fatema,
Dekho beto'n ki yateemi jaisi Surat hogayi.....
(9)
Laash ko jab de chuke Mushkil kusha guslo kafan,
Aakhri deedar karne Maa ka jab aaye Hasan,
Zainab o kulsoom jab tadpi qayamat hogayi....
(10)
Us ghadi Shabbir ye karne lage ro ro ke bayn,
Bin bulaye aapke Amma na aayega Husain,
Haath jab nikle kafan se Aur Aafat hogayi.....
(11)
Jis ka baba ho Jahan me Taaj daare Ambiya,
Uski beti ka janaza raat me haye utha,
Fatema ki baad e mursal aisi halaat hogayi.....
(12)
Tha Rawa'n Hasnain ke Aakho'n se aasu Zulfiqar,
Lab pe thi Afroz unke Haye Amma ki pukaar,
Dono Shehzadon ke aage Dafn Mayyat hogayi....