Zahra ko zalimo ne loota

- Seerat Abbas (2014)


Haye zahra.. haye zahra
Ya zahra....., ya zahra, ya zahra, ya zahra..(2)
Zahra ko zalimo ne loota,
kyu baad nabi be jurm o khata

Makhdooma e do aalam ko
kyu ghar mein bhi rone na diya
Zahra ko zalimo ne loota,
kyu baad nabi be jurm o khata

1. Jis paak moazma bibi ki tazeem Mohammad karte the
darbaar bulaya ummat ne kalma bhi nabi ka padhte the
baba ki wirasat se na haq, is zahra ko mehroom kiya

Zahra ko zalimo ne loota,
kyu baad nabi be jurm o khata

2. Zahra pe itne zulm hue ho sar ke baal safed gaye
darbaar ke khali laut aayi, din raat uske rote katte
dukh kaise bhulaye hakim ne, jhutlaye iske paak gawaah

Zahra ko zalimo ne loota,
kyu baad nabi be jurm o khata

3. Haq cheen liya jab zahra ka phir bhi na chayn se rehne diya
haider ke gale mein daali rasan nahi zalimo ko kuch aayi haya
ghar dakhil hoke ummat ne, kyu zakhmi kiya pehlu iska

Zahra ko zalimo ne loota,
kyu baad nabi be jurm o khata

4. Jis darr ki salami ki khatir din raat malaek sab aate
us darr ki azmat kya hogi jaha'n paak nabi khud ruk jaate
uss darr aqdas ko aag laga, diya zalimo ne zehra pe gira

Zahra ko zalimo ne loota,
kyu baad nabi be jurm o khata

5. Tehreer rasool ki na maani haq maangne ko darbaar gayi
mohsin bhi 'aqeel shaheed' kiya rahi zinda jab tak roti rahi
ye ajar risaalat ummat se, haye baad nabi zahra ko mila

Zahra ko zalimo ne loota,
kyu baad nabi be jurm o khata

Makhdooma e do aalam ko
kyu ghar mein bhi rone na diya
Zahra ko zalimo ne loota,
kyu baad nabi be jurm o khata
Ya zahra....., ya zahra, ya zahra, ya zahra..(2)