Fatima kehti thi

- Meesum Abbas (2009)


Roti rahi hai sayyada karti rahi aaho bukaa (2)

Fatema kehti hai mai roti thi chillati thi

Haaye mai khanjar e qaatil se lipat jaati thi.

1) Mere Husain ka zakhmo se bhar chukaa tha badan,
Qareeb hi dar e khaimey pe rorahi thi bahan,
Meri fughaa se larazne lagaa tha saara bann (2)
Judaa husain ki gardan jo huwi jaati thi

Haaye mai khanjar e qaatil.....

2) Giraa tha ghode se jis damm woh mera laqtey jigar,
Uthaake godh me rakhkha tha mai ne uska sar,
Giraati jaati thi aansu mai uske hoto par (2)
wo pyaas tegh taley aur badhi jaati thi

Haaye mai khanjar e qaatil.....

3) Mai roke kehti thi zaalim se, zulm ke baani,
Agar hai dil me zara sa bhi dard e insaani,
Ba waqt e zibha to dede Husain ko paani (2)
Nabi ka waasta dede ke mai samjhaati thi

Haaye mai khanjar e qaatil......

4) Mai boli, laashe uthaata rahaa hai ye din bhar,
Jawaan bhai ke ghum mey jhukii huwi hai kamar,
Kadii hai dhoop, udhaade usey koi chaadar (2)
Mai Baal kholey huwe dasht me chillati thi

Haaye mai khanjar e qaatil......

5) Kabhi Jo karbobala jaao MEESUM O REHAAN,
Tumhare kaano me aayegi ek sadaa har aan,
ghareeb maa teri gurbat pey, sabr par qurbaan (2)
Mai kuch na karsaki bass itna hi Kar paati thi

Haaye mai khanjar e qaatil......