Aye baba baba jaan
- Ali akbar ameen (2017)
aye mere baba..(2)
mujhko bulalo(2)
tum paas apne(2)
aye mere baba(2)
aye baba baba jaan..(8)
koi ab nahi ab mera yaha
aye baba baba jaan
aye baba baba jaan..(4)
1. Kaise jiyu kaise tumhe paau'n
kaise ye ghum baba mai uthau'n
kidhar jau'n kidhar se mai laau'n
kaise bhala seene se lagau'n
bhai ab nahi mera yaha'n
aye baba baba jaan
2. Baba yaha'n kaun hamara hai
baba mera kaun sahara hai
nargha e aada mein khule sar hu
kya ye tumhe ab bhi gawara hai
jeena hai dushwar ab yaha'n
aye baba baba jaan
3. Aab o ghiza ko nahi kehti mai
baba dawa ko nahi kehti mai
haatho se chehre ko chupa lungi
tumse rida ko nahi kehti mai
jald chale aao mai qurbaan
aye baba baba jaan
4. Shimr e laee'n mujhko satata hai
sone nahi deta rulata hai
oong jo aati hai kabhi mujhko
mere tamache wo lagata hai
cheen li kaano se baliya'n
aye baba baba jaan
5. Tashna dahan tashna jigar baba
paas mein ammu ho agar baba
jaan labo par hai sakina ki
dedo unhe itni khabar baba
kab talak sahungi sakhtiya'n
aye baba baba jaan
6. Mere gale mein hai rasan baba
khoon mein dooba hai badan baba
zulm o sitam ranj o mahan baba
kaise karu ab ye sahan baba
jism se nikal na jaye jaa'n
aye baba baba jaan
7. Noke sina par hai sar tumhara
kab hai qayamat se kam nazara
aalam e ghurbat mein mere baba
jisne jaha'n chaha mujhe maara
aur kuch karu bhi kya baya'n
aye baba baba jaan
8. Akbar o asif ho raqam kaise
dil pe uthaye ye alam kaise
sogayi zinda'n ke andhero mein
dukhtar e sultane karam kaise
kehte kehte baba baba jaan
aye baba baba jaan