Ali ke noor ka sadqa dikhai deta hai

- Mukhtar Hussain (2013)


Ali ke noor ka sadqa dikhai deta hai..(2)
khuda ke ghar mein ujaala dikhai deta hai
Ali ke noor ka sadqa dikhai deta hai


Mizaaje nahje balagha hai aayato'n jaisa..(2)
kalaam ye bhi khuda ka dikhai deta hai

Nuseri kehte hai mabood mere maula ko..(2)
ajeeb jhooth hai, sachha dikhai deta hai

Ali imam e man asto manam ghulam e ali..(2)
har ek nabi yehi kehta dikhai deta hai

Talaq duniya ko di jisne be niyazi se..(2)
wo sirf shauhar e zehra dikhai deta hai

Hai jurm naam e ali lena, kya qayamat hai..(2)
tamaam shehr hi kufa dikhai deta hai

Kamaal e qudrat e mabood hai mera abbas..(2)
Ali ko bhi ye ali sa dikhai deta hai

Najaf hai "meer takallum" ka toor aye musa..(2)
use yehi pe wo jalwa dikhai deta hai