Akbar-e-man

- Shahid Baltistani (2004)


Akbar-e-man

(Akbar-e-man nawjawaan) x5 Akbare maa

  1. Ay mere raahate jaa naujawaan, Akbare maa, tujpe qurbaan ye maa naujawaan, Akbare maa, jawaan
  2. (Akbar-e-man nawjawaan) x5 Akbare maa

  3. Saal atharwaa kya banke qayamat aaya, chand se sine pe pardes mei neza khaya, hai kahaan zakhme sinaa, bol kuch to meri jaan
  4. (Akbar-e-man nawjawaan) x5 Akbare maa

  5. Baap ki aankhon se binaai meri aas gayi, tujko kausar ki taraf leke teri pyaas gayi, meri tarapti hun yahaan, ay meri raahate jaan
  6. (Akbar-e-man nawjawaan) x5 Akbare maa

  7. Waada sughra se kiya tha jo chale the garse, lout aaunga bohot jald mei tujse milne, dhund ti hai who behen, tere kadmon ke nishaan
  8. (Akbar-e-man nawjawaan) x5 Akbare maa

  9. Tumko athara baras naazon se jisne paala, who phuphi beton se bharkar tumhe jisne chaha, kehti hai laut ke aa, ho gaya waqte azaan
  10. (Akbar-e-man nawjawaan) x5 Akbare maa

  11. Khaake sine pe sina sota hai tu lakhte jigar, tere bin zindaa na rehpaaegi teri madar, uske haathon mei rasan, jiska ho laal jawaan
  12. (Akbar-e-man nawjawaan) x5 Akbare maa

  13. Aagayi gyara moharam hai safar zindaan ka, he pase-pusht bandhe haath nahi sarpe rida, kya gawaara hai tujhe, thokare khaye ye maa
  14. (Akbar-e-man nawjawaan) x5 Akbare maa

  15. Touk karta hai fughaan karti hai matam zanjeer, ashk khun rote hai neze pe janabe shabbir, paaye Sajjad ke hai, aable nauha kunaa
  16. (Akbar-e-man nawjawaan) x5 Akbare maa

  17. Maa ke armaan tere saath hi soye ban mei, tune sine pe sina khaayi kuch aise ran mei, roya "Rehan" kalam, likh ke laila ka bayaan

(Akbar-e-man nawjawaan) x5 Akbare maa