Maqtal mein khule sar jab

- Syed Muqarrib Raza Alipuri (2017)


Maqtal me khule sar jab hamsheer nazar aayi,
Asaane shah-e-deeñ ko shamsheer nazar aayi

1) Khoda gaya chashma bhi ek boond nahiñ nikla-2
Naakaam thi pyaaso'n ki tadbeer nazar aayi.

Maqtal me khule sar jab Hamsheer Nazar ayee-2

2) Yuñ rann me rajas padhte akbar jo chale aaye-2
Duniya ko muhammad ki tasweer nazar aayi.

Maqtal me khule sar jab Hamsheer Nazar ayee-2

3) Khud apni Jafawo'n par mu'n dhaamp ke rote the,
Besheer ke hotoñ ki taaseer nazar aayi.

Maqtal me khule sar jab Hamsheer Nazar ayee-2

4) Jab asr ka waqt aaya baaqi na raha koi,
Bargushta musafir ko taqreer nazar aayi.

Maqtal me khule sar jab Hamsheer Nazar ayee-2

5) Jo kuch ke guzarni hai sajjad pa guzregi,
Jab aañkh khuli ghash se zanjeer nazar aayi.

Maqtal me khule sar jab Hamsheer Nazar ayee-2

6) Ek din me bhala roye kis kisko yeh dukhyaari,
Ek aaha bhi zaalim ko taqseer nazar aayi.

Maqtal me khule sar jab Hamsheer Nazar ayee-2

7) Ehsaas ki majlis me yeh rang "MUJAHID" ka,
Aañkhoñ se dhale aañsu taaseer nazar aayi.

Maqtal me khule sar jab Hamsheer Nazar ayee-2