Hussain dasht se laye jo laasha qasim ka

- Mustafa Hussain Chopra (2017)


Husain dasht se laae jo laasha qasim ka.
Kaha yeh ma'n ne jo dekha janaza qaasim ka

Pukarti hai tumhe ma'n mere pisar uth'tho.
Ay mere laal mere goshae jigar uth'tho.
Yeh kaisi neend me soye ho bekhabar uth'tho.
Yu'n ma'n ne ro ro ke sadqa utaara qasim ka.

Huva hai pyaas se chehra nidhaal dulhe ka.
Bhula na paaungi dil se mai haal dulhe ka.
Lahoo me doob ke sehra hai laal dulhe ka.
Ujaala kis ne yeh ghar se mitaaya qasim ka.

Bichhar ke ma'n se gae aur mar gae ran me.
Suna hai laash ke tukde bikhar gae ran me.
Badan pe jeeteji ghode guzar gae ran me.
Lahoo wigha me yeh kisne bahaya qasim ka.

Ghubaar chaand se chehre pe kaysa chhaaya hai.
Haraik tukda badan ka lahoo me dooba hai.
Yeh haal dekh ke chhalni mera kaleja hai.
Hai zakhmi ghodo'n ki taanpo'n se seena qaasim ka.

Jigar ko thaam ke bewa hasan ki roti thi.
Utha ke khaak ko chehre pe apne malti thi.
Tadap tadap ke yu'n laashe pe bayn karti thi.
Hai surkh khoon se shaadi ka joda qaasim ka.

Yeh likh ke daasta'n navshaad kar raha hai gham.
Azaae shaah me karta hai mustufa maatam.
Khayaame shaahe zaman me hai ranj ka aalam.
Harayk deta hai ma'n ko dilaasa qasim ka.