Ghazi ko bachpane mei

- Shahid Baltistani (2005)


Ghazi ko bachpane mei

(Mere beta abbas) x3

Madine me eik raat ummul baneen bete ko lori sunarahi hai

Abbas abbas abbas abbas

Ghazi ko bachpane me maa ye sabak parhaye

Abbas abbas abbas abbas, Ghazi ko bachpane me maa ye sabak parhaye

  1. (Tere bazuo(n) ke hote) x2 Zainab na gham uthaye
  2. Abbas abbas abbas abbas, Ghazi ko bachpane me maa ye sabak parhaye

  3. Haider ki zawjiyat me jis din se hu mein aayi
  4. Unke labo ke mene bas ye duwa hai paayi

    Ya rab wo laal de jo zainab ke kaam aaye

    Abbas abbas abbas abbas, Ghazi ko bachpane me maa ye sabak parhaye

  5. Maana ke tu banega salaar-o-meer lashkar
  6. Lekin hussain ka tu bankar rahenga nokar

    Itna khayal rakhna sar maa ka jhuk na jaaye

    Abbas abbas abbas abbas, Ghazi ko bachpane me maa ye sabak parhaye

  7. Aka hussain ko tum bhayi kabhi naa kehna
  8. Jab tak hain saas baaqi bankar gulam rehna

    Meri dua hai tumko sakaayi raas aaye

    Abbas abbas abbas abbas, Ghazi ko bachpane me maa ye sabak parhaye

  9. Mein hu kaneez-e-zehra fizza se phir bhi kam hu
  10. Ye soch soch kar me bas mubtilaa-e-gham hu

    Tere sabab se beta zehra na ruth jaaye

    Abbas abbas abbas abbas, Ghazi ko bachpane me maa ye sabak parhaye

  11. Ye ghar hai sayyeda ka is ghar ki shaan parda
  12. Is ghar ki betiyo ko suraj na dekh paaya

    Shahzadiyo sar tak teri nazar naa jaaye

    Abbas abbas abbas abbas, Ghazi ko bachpane me maa ye sabak parhaye

  13. Ab karbala ka manzar raavi ne yu(n) likha hai
  14. Abbas foj-e-sheh ka salaar bangaya hai

    Kiski majaal hai jo sheh se nazar milaaye

    Abbas abbas abbas abbas, Ghazi ko bachpane me maa ye sabak parhaye

  15. Ashur ko hai tooti pyaaso pe kya qayamat
  16. Larne ke milna paayi jarrar ko ijaazat

    Abbas ja rahe hai mashko alam uthaaye

    Abbas abbas abbas abbas, Ghazi ko bachpane me maa ye sabak parhaye

  17. Ghazi ke raaste par nazre hai bibio(n) ki
  18. Aur hai dua musalsal zainab ke ye labo(n) ki

    Meri rida ka zamin ay kaash lawt aaye

    Abbas abbas abbas abbas, Ghazi ko bachpane me maa ye sabak parhaye

  19. "Rehan azmi" jab be dast ho ke ghazi

Maqtal me girgaya tha reyti pe karbala ki

Madar ki wo nasihat ghazi ko yaad aaye

Abbas abbas abbas abbas