Mar jaungi mai baba

- Imran Mehdi (2017)


Tera seena nahi milta Mar jaungi mai baba.. (2)
Bin aapke ab mujhko .. (2)
Ek pal bhi nahi jeena

1. Baba tere baad kaneezi mein mujhe shaam k haakim ne maanga .. (2)
Ye dekh k sar tera ..(2) darbaar mein rota tha

2. Baalo'n pe safedi chhayi hai chehre se zaeefi bhi hai ayaa'n ..(2)
Ye kohe alam mujhpar ..(2) baba tere baad gira

3. Soungi bhala mai kaise padar is qaid mein mujhko bataao zara ..(2)
Bistar to Sakina(sa) ka .. (2) hai baba tera seena

4. Ay baba tumhari dukhiya ka ummat ne ye kaisa haal kiya ..(2)
Rukhsaar bhi neele hain ..(2) aur zakhmi hai mera gala

5. Rou'n jo teri yaado'n mein padar uspar bhi tamaache maarte hain..(2)
Khalta hai ye ummat ko ..(2) rona bhi Sakina(sa) ka

6. Daadi ki qasam aa jaao padar masoom Sakina(sa) ki khaatir.. (2)
Beti pe teri tera.. (2) ehsaan ye howega

7. Shikwa na kiya na koyi gila har zulm pe maine shukr kiya.. (2)
Hai sabr Sakina(sa) ka.. (2) dadi ki tarha Baba

8. Jab qaide sitam mein baap ka sar masoom Sakina(sa) ne paaya.. (2)
Aayi na dobaara phir .. (2) zindaane sitam se sadaa

9. "IMRAN" sitam wo sehti rahi Haider(as) ki WILAAYAT ki khaatir..(2)
SHABBIR(AS) ka maqsad hi maqsad tha Sakina(sa) ka
Tera seena nahi milta Mar jaungi mai baba.. (2)