Qaza

- Shahid Baltistani (2006)


Qaza

Ay jaan-e-man ya hussain, ay deen-e-man ya hussain (ishk-e-tora zindagi, man sagi tu ya hussain) x2

Ay waqt-e-ajal rukhja, dede mujhe kuch lamhe

Ashko(n) se wuzu karke (ik baar ye kehne de) x2

(Hussain hussain hussain, ya hussain) x4

  1. Eik awaaz suni bad-e-azan waqt-e-jannam
  2. ye wohi naam tha jis naam ka ab hai matam

    (Baap ne deke azaa(n)) x2 Kan mei di ye sada

    (Hussain hussain hussain, ya hussain) x4

  3. Bolna bhi nahi sikha tha magar seekh liya
  4. Azmat-e-farsh-e-aza matam-e-shabbir hai kya

    (Haath sina pe gaya) x2 Ayi jis waqt sada

    (Hussain hussain hussain, ya hussain) x4

  5. Jab zara hosh sambhala to ye taleem mili
  6. Bolo beta ke ali to hai imam-e-azali

    (Panjetan paanch kaho) x2 Phir kaho aaka mera

    (Hussain hussain hussain, ya hussain) x4

  7. Maut barhak hai to isse mujhe inkaar nahi
  8. Juz gham-e-sibt-e-nabi kuch mujhe darkaar nahi

    (Hai agar waqt-e-qaza) x2 Mujhko kehne de zara

    (Hussain hussain hussain, ya hussain) x4

  9. Maut kehne lagi ajaawu(n) to kab talti hu
  10. Tere saaye ki tarha saath raha karti hu(n)

    (Maut se mene kahaa(n)) x2 Ayi kehti huwi ya

    (Hussain hussain hussain, ya hussain) x4

  11. Ambhiya chore na chore hai farishte mene
  12. Ruh se jism ke rad kardiye rishte mene

    (Us pe kuch bas na chala) x2 Jis ne ik baar kahaa(n)

    (Hussain hussain hussain, ya hussain) x4

  13. Maat khayi hai sar-e-karbobala rab ki qasam
  14. Dekha ansar-e-hussaini ko to larze the qadam

    (Unse jis waqt mili) x2 Mujhko bhi kehna para

    (Hussain hussain hussain, ya hussain) x4

  15. Haye jis waqt chala sibt-e-nabi par khanjar
  16. Mene chaaha ke mei marjaawu(n) wahi par ghirkar

    (par ye tha hukm-e-khuda) x2 Chaahiye mujhko mera

    (Hussain hussain hussain, ya hussain) x4

  17. Ruh-e-shabbir ko rote huwe jab kabz kiya
  18. Tha meri pusht pe mawjood wohi ik saaya

    (Mene ki uspe nazar) x2 thi ye zahra ki sada

    (Hussain hussain hussain, ya hussain) x4

  19. Mawt "Rehan" muhibbo(n) ko kaha ati hai

Wo to khud mata shaheeda(n) ki khabar lati hai

(Kabr mei jaake bhi ham) x2 Kya kahe iske siwa

(Hussain hussain hussain, ya hussain) x4