Beta hai tu Ali ka

- Shahid Baltistani (2002)


Beta hai tu Ali ka

Allahuma adkhil alaa ahlil kubooris-suroor

Allahuma aghni kulli fakeer

Allahuma ashbi kulla jaa'i

(Allahuma ashfi kulli mareez) x2

Behaqqe hazrat-e-Abbas

Abbas, abbas, abbas

  1. Beta hai tu Ali Ka, Zahra ki tu Dua hai
  2. Shabbir tera Aaka, Ummul Baneen Maa hai

    Har Surato chalan mai Haider se na juda hai

    Ta hashr tuj se kaayam dunya main bas wafa hai

    (Abbas, Abbas, Abbas) x2

  3. Tere Alam ko thaame, Har shaks keh raha hai
  4. Mazloome Kerbala ka, Zainab ka waasta hai

    Pardesi koyi aysa, Pardes me na ujde

    Sadke mei uske jis ka, Ghar baar lutgaya hai

    (Abbas, Abbas, Abbas) x2

  5. Us wakt jabke Zainab, Darbaar mei gayi thi
  6. Qari Namazio sey, Mehfil saji huwi thi

    Zaalim yeh puchta tha, Ghazi tera kaha hai

    Baalo se muh chupaaye, Zainab yeh keh rahi thi

    (Abbas,Abbas,Abbas) x2

  7. Taqdeer ke sataye, tere dar pe sar jhukaye
  8. Ashko ki iltija ham, Ghaazi tuje sunaye

    Beemare saaribaan ke, Zakhmo ka waasta hai

    Jitne bhi khasta dil hai, Mowla shifa wo paaye

    (Abbas, Abbas, Abbas) x2

  9. Dil ki muraad Gazi , tere Alam se paaey
  10. Roti huwi jo maaen, Tere Alam pe aaey

    Zahra ke dardey pehlu ka, Deti hai waasta

    Fizza ki kaneezi mei, Mera bhi naam aaey

    (Abbas, Abbas, Abbas) x2

  11. Shaame Ghariban mei jis, Ka kurta jalgaya hai,
  12. Kaano se baaliya bhi, Haaye Shimr legaya hai

    Is bebasi se Mawla, Bacchi koi na tarse

    Farsh-e-Aza pe rokar, Har dil yeh kehraha hai

    (Abbas, Abbas, Abbas) x2

  13. Jitne bhi ashk maula, qirtaas par gire hai

Masuma ki kasam hi, ghazi fakat tere hai

Wo kuch rakam karu mei, jo naa rakam huwa hai

Alfaaz who ataa kar, "Yawar" se jo pare hai

(Abbas, Abbas, Abbas) x2