Be maqna o chadar

- Ameer Hassan Amir (2016)


Be makna o chadar sar e bazaar hai zenab
Abbas khule sar sare bazaar hai zenab

1-Ek baar bas ek baar mujhe dekh le bhayya
Ey mere madadgaar mujhe dekh le bhayya
Mar jayegi khahar sare bazaar hai zenab….1

2-Me teri behan hoo’n ye zamane ko khabar hai
har dekhne wale ki mere sar pe nazar hai
purdard hai manzar sare bazaar hai zenab……2

3-bin bhai ke ek behan ka kya jeene me jeena
abbas sehan kaise karoo’n phat ta hai seena
mar janaa hai behtar  sare bazaar hai zenab……..3

4-de hukm ke phat jaye zamee’n mujhko sama le
be dard zamane ki jafao’n se bacha le
ey waqt ke haider sare bazaar hai zenab……….4

5-dauraan e safar sar pe tera hath hai bhayya
itna hi bahot hai tu mere sath hai bhayya
ek tere hi dam par sare bazaar hai zenab………..5

6-kal tere bharose pe chali thi mai watan se
kya baat hai kuchh bol to ey bhai behan se
ey azm ke paikar sare bazaar hai zenab………6

7-rehwaar ki garden me hai is waqt tera sar
abbas magar phir bhi larazte hai sitamgar
is dar ki bina par sare bazaar hai zenab……….7

8-is waste deti hoo’n musalsal me sadaye’n
hoti hain yaha’n mujhpe jafao’n pe jafaye’n
ey mere ghazanfar sare bazaar hai zenab……..8

9-asif  ho raqam kaise ghame zenab e muztar
aamir ho baya’n kaise ke zenab ke tha lab par
ye mera muqaddar sare bazaar hai  zenab……9