Ali akbar-e-man

- Shahid Baltistani (2006)


Kaha(n) sughra ne meri jaan ali akbar-e-maa
Pura kardo na ye armaan ali akbar-e-maa
Lot awo na watan

(Kahaa(n) sughra ne meri jaan ali akbar-e-man, lot aawo na watan) x2

Jabse tum ghar se gaye lutf-e-azaan jaata raha
Lot aane ka jo wada tha wo rulwaata raha
Chand lamho(n) ki hu mehmaan
Ali akbar-e-man, lot aawo na watan

(Kahaa(n) sughra ne meri jaan ali akbar-e-man, lot aawo na watan) x2

Aisi tanhaayi ke tanhaayi ko dar lagta hai
Aisi manzar hai ke binaayi ko dar lagta hai
Ghar mujhe lagta hai zindaan
Ali akbar-e-man, lot aawo na watan

(Kahaa(n) sughra ne meri jaan ali akbar-e-man, lot aawo na watan) x2

Tere hote huwe abaad the raste sare
Teergi mei bhi the angan mei chamakte tare
Zindagi hogayi veeraan
Ali akbar-e-man, lot aawo na watan

(Kahaa(n) sughra ne meri jaan ali akbar-e-man, lot aawo na watan) x2

Tu nahi ata to ik khaat hi rawana karde
Mere jeene ka yahi eik bahana karde
Itna kehna to mera maan
Ali akbar-e-man, lot aawo na watan

(Kahaa(n) sughra ne meri jaan ali akbar-e-man, lot aawo na watan) x2

Ab na baba se shikayat hai na amma se gila
Mei to beemar hu beemar se rishta kaisa
Gham ye hai phool phuphi jaan
Ali akbar-e-man, lot aawo na watan

(Kahaa(n) sughra ne meri jaan ali akbar-e-man, lot aawo na watan) x2

Meri ankho(n) mei tumhe ashk gawara hi na the
Tere bin kaatu(n) ye beemar ke lamhe kaise
Mawt hai samne har aan
Ali akbar-e-man, lot aawo na watan

(Kahaa(n) sughra ne meri jaan ali akbar-e-man, lot aawo na watan) x2

Qabr-e-zahra pe bhi ab jaane ki himmat na rahi
Ab diya ghar mei jalaane ki bhi taakat na rahi
Natawano(n) ka hai tufan
Ali akbar-e-man, lot aawo na watan

(Kahaa(n) sughra ne meri jaan ali akbar-e-man, lot aawo na watan) x2

Koyi jhoka bhi hawa ka jo idhar aata hai
Mujhse pehle mera dil jaanib-e-dar jaata hai
Bas hai ahat pe lage kaan
Ali akbar-e-man, lot aawo na watan

(Kahaa(n) sughra ne meri jaan ali akbar-e-man, lot aawo na watan) x2

Kya kabhi socha bahan dard se roti hongi
Lot ke aawo to wo qabr me soti hongi
Hai bohot iska bhi imkaan
Ali akbar-e-man, lot aawo na watan

(Kahaa(n) sughra ne meri jaan ali akbar-e-man, lot aawo na watan) x2

Ya to pardes se sughra ka kafan ley aawo
Ya mere jeete huwe apni dulhan ley aawo
Rakho itna to mera maan
Ali akbar-e-man, lot aawo na watan

(Kahaa(n) sughra ne meri jaan ali akbar-e-man, lot aawo na watan) x2

Kya koi apna watan chor ke yu(n) jaata hai
Shaam ko ghar me parinda bhi chala aata hai
Ay meri ghar ki nigehbaan
Ali akbar-e-man, lot aawo na watan

(Kahaa(n) sughra ne meri jaan ali akbar-e-man, lot aawo na watan) x2

Ghash ke aalam me bhi "Rehan" tha Sughra ka bayaa(n)
Kya dam-e-marg sirhane na padhoge quran
Ay mere bolte quraan
Ali akbar-e-man, lot aawo na watan

(Kahaa(n) sughra ne meri jaan ali akbar-e-man, lot aawo na watan) x2