Sayyad e sajjad

- Mohammad Raza Gopalpuri (2017)


Sayyed e Sajjad Sayyed e Sajjad

1. Lut gaya zehra ka gulshan karbo bala ke jangal me
Kis kis ko beemar akela roye jakar maqtal me
Tukrhe hain zehra ke bikhre sare maida, sayyed e sajjad

Abid e beemar Sayyede Sajjad Sayyede Sajjad

2. Jalti zami par baap ka tan nok e sena par sar dekha
Maa behno ko pahle pahal balwe(bazaar) me be chadar dekha
Dar hai kahi tan se nikal jaaye na gham se jaa, sayyed e sajjad

Abid e beemar Sayyede Sajjad Sayyede Sajjad

3. Hathkadhya hain haatho me berhiya jiske pairo me
Kaise chale paidal aakhir  kunba liye wo ghairo me
Durro ki zad par hai pusht e hazi har aan(zakhmi kamar)

Abid e beemar Sayyede Sajjad Sayyede Sajjad

4. Phupiya maayen baali sakeena sath me kamsin baqir hai
Kaisi musibat me allah aal e nabi e aakhir hai
Pushto par khaate hain naizo ki sab anya, sayyed e sajjad

Abid e beemar Sayyede Sajjad Sayyede Sajjad

5. Haath pas e garden se bandhe hain namoos e paighambar ke
Kaise bachayen bibiyan khud ko ahl e sitam ke pathar se
Aankhen nam zakhmi badan khoon me sab ghalta(lath path), sayyed e sajjad

Abid e beemar Sayyede Sajjad Sayyede Sajjad

6. Rote hain kha kha ke wo kamsin zakhm tamacho durro ke
Aasu bhi to pochh nahi sakte imam un bachho ke
Zanjeere hathkarhya haatho me reesmaa(rassi), sayyed e sajjad

Abid e beemar Sayyede Sajjad Sayyede Sajjad

7. Maar raha tha jab zalim shah ke labo danda pe chharhi
Kaise bataoon bekas ke qalb o jigar par kya guzri
Reh gaya bas haaye pedar kah ke wo natawaa(kamzor), sayyed e sajjad

Abid e beemar Sayyede Sajjad Sayyede Sajjad

8. Shimr ne jab hakim se kaha haazehi(ye hai) zainab bint o ali
Kon bataye abid ke dil ko kitni thes lagi
Sar bhi jhuka sakte nahi garden me hai tauq e gera, sayyed e sajjad

Abid e beemar Sayyede Sajjad Sayyede Sajjad

9. Mar gayi qaid e sham me ghut kar chaar baras ki chhoti bahan
Sab hain aseer e ranjo mahan(ghamzada) kon de mazlooma ko kafan
Ghurbat par bachhi ke rote hain peero jawa(burdhe aur jawan), sayyed e sajjad

Abid e beemar Sayyede Sajjad Sayyede Sajjad

10. Jal gaya tha jis kurte ka daman shame ghareeba me
Dafn usi kurte me kiya apni bahan ko zinda me
Ho na saka pura watan jaane ka wo arma, sayyed e sajjad

Abid e beemar Sayyede Sajjad Sayyede Sajjad

11. Kamsin ne shamshad bohot thokaren khaai dar dar ki
Yaad watan ko karti thi roz yateema sarwar ki
Ab na kabhi royegi thaame dar e zinda, sayyed e sajjad

Abid e beemar Sayyede Sajjad Sayyede Sajjad