Tere alam ko salam
- Mohammad Raza Gopalpuri (2017)
Tere Alam ko salam
Durood teri wafa par tere alam ko salam
Tere kamal pe qurba tere hasham(shan o shokat) ko salam.
1. Wafa ko manzil e meraj bakhsh di tune
Sebat o sabr(musibat bardasht karna) ki sarhad uboor(paar ki) ki tune
Teri fazilaten likhe jo us qalam ko salam
Durood teri wafa par tere alam ko salam
2. Ali ke lal kahin bhi teri missal nahi
Tu wo kamal hai jiko kabhi zawal(girawat) nahi
Wafa ki raah me tere qadam qadam ko salam
Durood teri wafa par tere alam ko salam
3. Zamana dekh raha hai ye mojza aankhon
Rawa hai faiz(karam) tera aaj bhi kate haathon
Nisar teri ata par tere karam ko salam
Durood teri wafa par tere alam ko salam
4. Jahan khila kiye din bhar shahadato ke gulab
Kahi pe qasim o akbar kahi hain jaan e rabab
Sada hamara ho is kishwar iram(jannati sheher) ko salam.
Durood teri wafa par tere alam ko salam
5. Tera bharosa tha aur fatema ki jaai thi
Reda bachane ki tune qasam jo khai thi
Ghoyoor(ghairat daar) qaum ka ta hashr us qasam ko salam
Durood teri wafa par tere alam ko salam
6. Sarhaane baith ke aasu bahaye aaqa ne
Hila ke rakh diya ran ko sada e girya ne
Karoro martaba maula ke chashm e nam(bhigi aakh) ko salam
Durood teri wafa par tere alam ko salam
7. Wo zanu e shah e wala wo tera zakhmi sar
Rahega yaad tere dam nikalne ka manzar
Who leke hichkiyan karna shah e umam ko salam
Durood teri wafa par tere alam ko salam
8. Udhar to behne tarhapti thi machhlyon ki tarah
Idhar sakeena ke asoo the motiyon ki tarah
Gire alam pe jo un ashk haaye gham ko salam
Durood teri wafa par tere alam ko salam
9. Teri judaai ka gham qalb par uthaye hue
Gale se sayyed e sajjad ko lagaye hue
Ghareeb e fatema zehra ne bheja ham ko salam.
Durood teri wafa par tere alam ko salam
10. Redayen shimr ne chheeni jo sar se itrat(ahlebait) ke
Na thehra sar tera naize pe maare ghairat ke
Teri haya ko salami tere haram ko salam
Durood teri wafa par tere alam ko salam
11. Zami se taba falak shohrat e wafadari
Farishte karte hain shamshad khud azadari
Sada e girya o matam julus e gham ko salam.
Durood teri wafa par tere alam ko salam