Hussain Hussain Hussain

- Mohammad Raza Gopalpuri (2017)


Hussain Hussain Hussain

1. Musibaton me hai Hussain, Aziyaton me hai Hussain
Mashaqqaton me hai Hussain, Kin aafaton me hai hussain.

Wo dasht e Nainawa,  Waaye Waaye Waaye
Bala ka samena,         Waaye Waaye Waaye
Hussain Hussain Hussain.

2. Na Muslim ibn e Ausaja, na Jon o Wahb e ba safa(sachha)
Na hain Zohair e khush ada(nek kirdar), na ab Habib e ba wafa.
 
Ameer e be kasa, Waaye Waaye Waaye
Imam e inso ja,     Waaye Waaye Waaye.
Hussain Hussain Hussain.

3. Chala jo Qasim bin Hasan, Khezaon me tha gulbadan(phul jaisa badan)
Tha chaak band e pairahan(khula hua gareban), kafan ho jaise zeb e tan.(badan par kafan)

Wo tifl e mehlaqa(chand ka tukrha), Waaye Waaye Waaye
Sumo(ghorhe ke taap) me pis gaya, Waaye Waaye Waaye
Hussain Hussain Hussain.

4. Ajab hai waqt e imteha, sahar me jisne di aza
Usi ke seene par sina, tarhap raha hai naujawan.

Shabih e Mustafa, Waaye Waaye Waaye
Lahu lahu hua,    Waaye Waaye Waaye
Hussain Hussain Hussain.

5. Wo aarzu e Murtaza, jab apne ghorhe se gira
The bazu shaano se juda, do neem farq e ba wafa.(sar ke do hisse )
        
Wo mu ke bal gira,  Waaye Waaye Waaye
Sakeena ka chacha, Waaye Waaye Waaye
Hussain Hussain Hussain.

6. Rabab ka who mehjabi(chand si peshani), ghareeb maa ka naazni(nazo me pala)
Shaheed e teer e ahl e kee, ab apne jhoole me nahi

Pedar ka ladla,  Waaye Waaye Waaye
Shaheed ho gaya,  Waaye Waaye Waaye
Hussain Hussain Hussain.

7. Qateel e arz e karbala, aseer e dasht e nainawa
Shaheed e raah e kibriya(allah), hua hai zibha be khata
           
Ghareeb o be watan, Waaye Waaye Waaye
Parha hai be kafan,   Waaye Waaye Waaye
Hussain Hussain Hussain.

8. Behan ne ro ke di sada, teri ghareebi par fida
Tera na laasha uth saka, sada rahungi ghamzada

Tu be kafan raha, Waaye Waaye Waaye
Hui mai be rida, Waaye Waaye Waaye
Hussain Hussain Hussain.

9. Sakeena ki wo hichkiyan, wo mu pe khana seliya(tamache)
Hua lawo se khoo rawa, chhini jo uski baaliya.

Yateema par setam, Waaye Waaye Waaye
Ye sin ye dard o gham, Waaye Waaye Waaye
Hussain Hussain Hussain.

10. Wo nauha shamshad ne likha, hai qalb e momin ghamzada
Uthi jo matam ki sada, to arsh e aazam hil gaya,

Hain aankhen sab ki nam, Waaye Waaye Waaye
Rahe sada ye gham, Waaye Waaye Waaye
Hussain Hussain Hussain.