Aaja meri beti
- Ameer Hassan Amir (2016)
Zahra, Zahra..(2)
zahra meri bacchi..(2)
aaja meri beti, aaja meri zahra..(2)
Marqad me mohammad ne padha hoga ye noha,, aaja meri beti aaja meri zehra
Milne ke liye tujhse hy be chain ye baba aaja meri beti aaja meri zehra
Ehsaas yatimi ka satata raha tujhko
Har koei mere baad rulata raha tujhko
Haider ke siwa kaun tarafdaar tha tera aaja meri beti aaja meri zehra
Jitney bhi huye tujhpe sitam dekhey he’n me ne
Ghar me tere ummat ke qadam dekhe he’n me ne
Maloom hy mujhko tujhe jis jis ne sataya aaja meri beti aaja meri zehra
Darbaar e sitam me tera haq maangne jaana
Dekha na gaya mujhse tera laut ke aana
Ek me hi nahi tadpi hy tad air khatija aaj a meri beti aaja meri zehra
Mohsin ki shahadat ka mere dil pe hy sadma
Har pal wo raha yaad mujhe me nahi bhoola
Aa baitth mere paas tujhe dena hy pursa aajaa meri beti aaja meri zehra
Jab jab bhi tu roti thi meri qabr pe aakar
Mujhse kabhi dekha nahi jaata tha wo manzar
Phatta tha tere nalo’n se reh reh ke kaleja aaja meri beti aaja meri zehra
Ummat ne tere pehlu pe darwaza girayaa
Afsos taras tujhpe kisi ne nahi khaya
Ja iz hy kare mujhse jo har zulm ka shikwa aaja meri beti aaja meri meri zehra
Haider ke galey me thi rasan dekha hy me ne
Kis tarha kiya tuney sahan itna bata de
Qadmo’n pe kai baar giri hy tere fizza aaja meri beti aaja meri zehra
Marqad me bhi aaraam kaha’n paana hy tujhko
E lal abhi karbobala jaana hy tujhko
Shabbir ko wayda hy abhi apna nibhana aaja meri beti aaja meri zehra
Kya haal baya’n tumse karoo’n gham ke safar ka
Sar neze pe dekhogi abhi apne pisar ka
Doobeyga mere khoon me tapta huaa sehra aaja meri beti aaja meri zehra
Din kaisa dikhaya hy ye taqdeer ne aasif
Sar peet liya zenab e dilgeer ne asif
Aamir jo uttha Fatima zehra ka janaza aaja meri beti aaja meri zehra